Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.
Showing posts with label *Ghazal. Show all posts
Showing posts with label *Ghazal. Show all posts

Saturday, November 19, 2022

Ek Kaagaz lo aur naam likho

 Ek kaagaz lo aur naam likho

Ek chehra banao paigham likho


Mathey ki jagah par taaj rahe

Aankhon ki jagah par jaam likho


Sitare aur chand ko kaanon par

Zulfon ke niche shaam likho


Nigahon ke teer se back back kar

Bahon mei uske araam likho


written by Mustafiz 

Sunday, July 17, 2022

Is Dil Ka Jo Hua Hone Diya


Is dil ka jo hua hone diya
Be-khudi ramz-o-gilaa hone diya

Ruk gaye sab sitam tere diye
Phir mera jo hua hone diya

Aur Kya bach gaya jo mita nahiñ
Aag lagi aur dhuañ hone diya

Ghalat hua jo hua saath mere
Saath mere jo hua hone diya

Ik tamanna rah gayi hai seene mei
Dil mei hi jis ko fanaa hone diya 

Usne kaha ki usko bhi pyaar hai
Usne mera kyun bura hone diya

Ek safar ki baat thi khair wo bhi
Jo pasand tujh ko, tera hone diya

Ishq mei ham mit gaye jaan kar
Jo rasm hai unko adaa hone diya

********

इस दिल का जो हुआ होने दिया
बेखुदी रम्ज़ ओ गिला होने दिया

रुक गए सब सितम तेरे दिए
फिर मेरा जो हुआ होने दिया

और क्या बच गया जो मिटा नहीं
आग लगी और धुआं होने दिया

ग़लत हुआ जो हुआ साथ मेरे
साथ मेरे जो हुआ होने दिया

इक तमन्ना रह गई है सीने में
दिल में ही जिस को फना होने दिया

उसने कहा की उसको भी प्यार है
उसने मेरा क्यों बुरा होने दिया

एक सफर की बात थी ख़ैर वो भी
जो पसंद तुझ को, तेरा होने दिया

ईश्क में हम मिट गए जान कर
जो रस्म है उसको अदा होने दिया

written by Mustafiz Raza 




Wo Mohabbat Ki Dava Thi

Wo mohabbat ki dava thi
Jis ke aakhon mei wafaa thi

Ham usi ke intezaar mei the
Jo kisi baat par khafaa thi

Bawandar to faqat naam tha
Wo to lehroñ par fida thi

Na hi seene par qafas tha
Na hi pinjre mei jagah thi

Mere kaagaz ki siyahi bhi
Meri mohabbat ki sazaa thi

Meri mohabbat mei rahne ki
Kya faqat meri hi razaa thi

Mustafiz itna to bata dete
Isme meri kya Khataa thi

********

वो मोहब्बत की दवा थी
जिस के आंखों में वफा थी

हम उसी के इंतजार में थे
जो किसी बात पर खफा थी

बवंडर तो फकत नाम था
वो तो लहरों पर फिदा थी

ना ही सीने पर कफस था
ना ही पिंजरे में जगह थी

मेरे कागज़ की सियाही भी
मेरी मोहब्बत को सज़ा थी

मेरी मोहब्बत में रहने की
क्या फकत मेरी ही रज़ा थी

मुस्तफिज़ इतना तो बता देते
इसमें मेरी क्या खता थी

written by Mustafiz Raza 


Wednesday, June 1, 2022

SHER KAISE LIKHTE HAIÑ

Ham ko kya maalum shayari kya hai
Timardaar ko nahi pata bimaari kya hai

Shouq itna hai ki kuch likhne ka mann karta hai
Mae kagaz tak le jata hun baaki qalam karta hai

Khayaal aata hai ki sher us mehak ke naam kar duñ
Phool ki taarif karuñ aur kaañtoñ ko badnaam kar duñ

Shuru karta hun ki phuloñ ki jawani kaisi hoti hai
Agle misre mei likhta hun pasbaani kaisi hoti hai

Sau karvatoñ ke baad ek sher nahi ban pata hai
Magar ek hoñth dekh kar pura ghazal ban jata hai

Soch soch kar ungliyoñ se jabiñ malte hain
Siyahi bhari rahti hai par qalam nahi chalte hain

Kahte hain shayar se alfazoñ ki khushbu aati hai
Mere dost mujh ko kahañ urdu aati hai

Har ek misre ke liye khud se ladta hun
Meer Iqbaal Ghalib ko roz padhta hun

Us par bhi jo likhta hun vo reza reza bhata hai
Sochta hun aye 'Mustafiz' tujh ko kya hi aata hai

Aise lekhan par log itne hairaan dikhte hain
Puchhte hain ki 'Mustafiz' sher kaise likhte hain

written by Mustafiz Raza 







Thursday, March 10, 2022

UNKE DIYE KHATT PURANE DHUND RAHE HAIN

 Unke diye khatt purane dhund rahe hain
Hame unke kuchh divaane dhund rahe hain

उनके दिए खत्त  पुराने ढूंढ  रहे हैं 
हमें उनके कुछ दीवाने ढूंढ रहे हैं 

Zindagi ke haseen fasaane dhund rahe hain
Parinde apne aashiyane dhund rahe hain

ज़िन्दगी के हसीं फ़साने ढूंढ रहे रहे हैं 
परिंदे अपने आशियाने ढूंढ रहे हैं

Ho gayi in kam-bakht aankhon se galtiyan
Ab unse bachne ke bahane dhund rahe hain

हो गयी  इन काम बख्त आँखों से ग़लतियाँ
अब उनसे बचने के बहाने ढूंढ रहे हैं 

Ham to aashiq hain aankhon se peete hain
Kuchh bewakuf sharab-khane dhund rahe hain

हम तो आशिक़ हैं आँखों से पीते हैं 
कुछ बेवक़ूफ़ शराब खाने ढूंढ रहे हैं 

Koi batae unko ki Maa-Baap hain daulat
Jo ghar ke baahar khazaane dhund rahe hain

कोई बताए उनको की माँ बाप हैं दौलत 
जो घर के बाहर ख़ज़ाने ढूंढ रहे हैं 

Tum dil apna liye baithe ho 'Mustafiz'
Wo waar karne ke nishaane dhund rahe hain

तुम दिल अपना लिए बैठे हो मुस्तफिज़
वो वार करने के निशाने ढूंढ रहे हैं 

written by Mustafiz 

INSTAGRAM LINK


#shayari4world #shayari #shayri #urdupoetry #urdu #poem #rekhta #urdulove #urduadab #urdusher #ghazal #poetrylove #mustafiz_raza #sher_o_shayari #urdu_shyari

NADAAN UNGLIYON KA ISHARA TERI TARAF

 Nadaan ungliyon ka ishara teri taraf
Chamak raha hai jaise koi sitara teri taraf

Ham aur bhi jagah ke musafir huwe magar
Aankhon ko jo bha jae wo nazzara teri taraf

Yun to din mere le jaate hain sapne raat ke
Lekin har shaam meri jaan guzara teri taraf

Jo seene ke ho kareeb aur jaan sa ho ajeez
Kho gaya hai kuchh waisa hamara teri taraf

नादान उंगलियों का इशारा तेरी तरफ
चमक रहा है जैसे कोई सितारा तेरी तरफ

हम और भी जगह से मुसाफिर हुवे मगर
आखों को जो भा जाए वो नज़रा
तेरी तरफ 

यूं तो दिन मेरे ले जाते हैं सपने रात के
लेकिन हर शाम मेरी जान गुज़ारा तेरी तरफ

जो सीने के हो करीब और जां सा हो अजीज़
खो गया है कुछ वैसा हमारा तेरी तरफ

written by Mustafiz

INSTAGRAM LINK

#shayari4world #bestshayari #urdupoetry #awesomeshayari
#love_shayari #lovepoetry #love #shayari_blog #shayari_site #shayarisite #shayari_page #original shayari

SONE KO AADAT LIKHTA HUN

 Sone ko aadat likhta hun ruthne ko sharaarat likhta hun
Tum jab jab gussa hote ho mae tab tab ghabraahat likhta hun

सोने को आदत लिखता हूँ रूठने को शरारत लिखता हूँ 
तुम जब जब गुस्सा होते हो मए तब तब घबराहट लिखता हूँ 

Likhta hun har baar sukhan har baar ye ghalati hoti hai
Tum jab bhi yaad aate ho unwaan mohabbat likhta hun

लिखता हूँ हर बार सुखं हर बार ये ग़लती होती है
तुम जब भी याद आते हो उन्वान मोहब्बत लिखता हूँ 

Mere pyar pe zor nahi, rakh do khanjar seene mei
Mere eitbaar pe shak na kar mae roz shikhayat likhta hun

मेरे प्यार पे ज़ोर नहीं रख दो खंजर सीने में 
मेरे ऐतबार पर शक न कर मर रोज़ शिकायत लिखता हूँ 

'Mustafiz Raza' ke ghazlon mei uska naam nahi milta
Fir bhi har ek misre mei uski aahat likhta hun

मुस्तफिज़ रज़ा के ग़ज़लों में उसका नाम नहीं मिलता
फिर भी हर एक मिसरे में उसकी आहात लिखता हूँ 

written by Mustafiz 

YE WAQT ISI TARAH CHALTI JAEGI

 Ye waqt isi tarah chalti jaegi
Umr dhalti hai dhalti jaegi

ये वक़्त इसी तरह चलती जाएगी 
उम्र ढलती है ढलती जाएगी 

Saans thodi thodi aati rahegi
Jaan jism se nikalti jaegi

सांस थोड़ी थोड़ी आती रहेगी 
जान जिस्म से निकाली जाएगी 

Jitni himmat se shama jalegi
Utni jaldi momm pighalti jaegi

जितनी हिम्मत से शमा जलेगी
उतनी जलगी मॉम पिघलती जाएगी 

Gar Khuda pe ho eitbaar 'Mustafiz'
Dekhiye qismat kaise badalti jaegi

गर खुदा पे हो ऐतबार मुस्तफिज़ 
देखिये क़िस्मत कैसे बदलती जाएगी 

written by Mustafiz 






#shayari4world #shayari #shayri #urdu_poetry #urdupoetry #urduadab #urdulove #rekhta
#poetry #ghazal #best_shayari #best_poetry_blog #shayari_blog

HAM TO THAHRE SANG-DIL

 Ham to thahre sang-dil ham na jaane ranj-o-gham
Par tumhare husn par muskurana aa gaya

हम तो ठहरे संग दिल हम न जाने रंज ो ग़म 
पर तुम्हारे हुस्न पर मुस्कुराना आ गया 

Tum to the hadd se zyada maasum narm-o-shokh dil
Tum ko kab se jaan-e-mann aazmana aa gaya

तुम तो थे हद्द से ज़्यादा मासूम नरम ो शोख दिल 
तुम को कब से जान ए मैं आज़माना आ गया 

Hoti hai pathharon ke mujasmon ki qeemat bohot
Pyar ki qeemat nahi hai kya zamana aa gaya

होती है पत्थरों के मुजस्मोन की क़ीमत बहुत
प्यार की क़ीमत नहीं है क्या ज़माना आ गया 

written by Mustafiz 



#shayari4world #shayari #shayri #sher #urdupoetry #urdu #rekhta_poetry #urduadab #best_shayari #shayari_site #ghazal #mustafiz_raza #shayari_blog

EK DIL DOULAT KI KHUMAARI JAAEGI

 Ek din doulat ki khumaari jaaegi
Qafam bhi kisi par udhaari jaaegi

एक दिन दौलत की खुमारी जाएगी
क़फ़न भी किसी पर उधारी जाएगी 

Jis din chum li haraam ki kamaai
Us roz raat bohot bhaari jaaegi

जिस दिन चुम ली हराम की कमाई 
उस रोज़ रात बहुत भारी जाएगी 

Bohot buri hai ye jeene ki aadat
Kisi roz ye aadat bhi sudhaari jaaegi

बहुत बुरी है ये जीने की आदत 
किसी रोज़ ये आदत भी सुधरी जाएगी 

Har roz padengi auron ki nazren
Har roz nazar teri utaari jaaegi

हर रोज़ पड़ेंगी औरों की नज़रें 
हर रोज़ नज़र तेरी उतारी जाएगी 

Tere firaaq mei meri ye zindagi
Kis tarah dekhiye guzaari jaaegi

तेरे फ़िराक में मेरी ये ज़िन्दगी
किस तरह देखिये गुज़ारी जाएगी 

Tab tab badhegi ham dono mei nisbat
Jab jab wo zulfen sanvaari jaaegi

तब तब बढ़ेंगी हम दोनों में निस्बत 
जब जब वो ज़ुल्फ़ें सँवारी जाएगी 

Maalum hai mujhe tere didaar ke baad
Tere khayaal mei nind hamaari jaaegi

मालुम है मुझे तेरे दीदार के बाद
तेरे ख़याल में नींद हमारी जाएगी

written by Mustafiz 


EK RAMZ HAI JO KHO RAHE HAIN

 Ek ramz hai jo kho rahe hain
Koun kahta hai ki ham ro rahe hain

एक रम्ज़ है जो खो रहे हैं
कौन कहता है की हम रो रहे हैं 

Haqeekat hi rulati hai hamesha
Yaqeenan isi liye so rahe hain

हक़ीक़त ही रुलाती है हमेशा
यक़ीनन इसी लिए सो रहे हैं 

Tum ne bhi pherli nazren hamse
Ham bhi ghamandi ho rahe hain

तुम ने भी फेरली नज़रें हम से 
हम भी घमंडी हो रहे हैं 

Wo gulab ki umeed liye huwe hain
Jo barson se kaante bo rahe hain

वो गुलाब की उम्मीद लिए हुवे हैं 
जो बरसों से कांटे बो रहे हैं 

Ye apne andaaz ki baat hai sahab
Ham gunah aansuon se dho rahe hain

ये अपने अंदाज़ की बात है साहब
हम गुनाह आंसुओं से धो रहे हैं 

Aankh se aansu nikal rahe hain to kya
Ham honton se muskura to rahe hain

आँख से आंसू निकल रहे हैं तो क्या 
हम होंठों से मुस्कुरा तो रहे हैं 

written by Mustafiz 

Monday, March 22, 2021

HAM KOI AUR CHAAL CHALNE WAALE THE

 Ham koi aur chaal chalne waale the
Aur raqibon ke din dhalne waale the

Tere didaar ki hasrat thi aankhon mei
Tere kooche se jab nikalne waale the

Maalum tha andhere se dushmani hogi
Mere saare chiragh jalne waale the

Usne tab ibaadat se ghaflat kar li
Jab taqdeer uske badalne waale the

Maalum tha ham sang-dil hain lekin
Maalum tha ham pighalne waale the

Girna hi tha unke ishq mei 'Mustafiz'
Ham kab kahan sambhalne waale the

*****

हम कोई और चाल चलने वाले थे 
और रक़ीबों के दिन ढलने वाले थे 

तेरे दीदार की हसरत थी आँखों में
तेरे कूचे से जब निकलने वाले थे 

मालुम था अँधेरे से दुश्मनी होगी 
मेरे सारे चिराग जलने वाले थे

उसने तब इबादत से ग़फ़लत कर ली
जब तक़दीर उसके बदलने वाले थे 

मालुम था हम संग दिल हैं लेकिन
मालुम था हम पिघलने वाले थे

गिरना ही था उसके इश्क़ में 'मुस्तफिज़'
हम कब कहाँ सँभालने वाले थे

written by Mustafiz 

Monday, November 16, 2020

SHOR NE SAWAAL PUCHHA

Shor ne sawaal puchha
Khamoshi ne jawaab likhha

Do botal sharaab pi kar
Zindagi ne qitab likhha

Zist ne sirf kaante dekhe
Shuru huwe to gulaab likhha

Haqeekat ne faqat saajish ki
Qalam uthaya aur sailaab likhha

Din jab kate gunahon mei
Saza ke naam par khwaab likhha

Jab bhi dekha mahtaab tujh ko
Khuda ki qasam aftaab likhha

'Mustafiz' aao ek baat bata dun
Tum ne bohot kharaab likhha

****

शोर ने सवाल पूछा।
खामोशी ने जवाब लिखना।

दो बोतल शराब पी कर।
ज़िन्दगी ने किताब लिक्खा।

ज़ीस्त ने सिर्फ कांटे देखे
शुरू हुवे तो गुलाब लिक्खा 

हक़ीक़त ने फ़क़त साज़िश की 
क़लम उठाया और सैलाब लिख्हा 

दिन जब कटे गुनाहों में
सजा के नाम पर ख्वाब लिक्खा

जब भी देखा माहताब तुझ को 
खुदा की क़सम आफताब लिक्खा 

मुस्तफिज़ आओ एक बात बता दूँ 
तुमने बोहोत खराब लिखहा

written by Mustafiz 

Be-Ghairat Zamane ko Tamasha pasand hai

Be-ghairat zamane ko tamasha pasand hai
To tum bhi batao tumhe kya pasand hai

Milti hai meri pasand sab ki pasand se
Mujhe bhi tumhara chehra pasand hai

Wo to dilati hai ulfat teri aankhon ki masti
Vagarna machhli ko saara dariya pasand hai

Tumhe jaise tadpana achha lage hai
To mujh ko bhi charaagh jalta pasand hai

Mujh ko bhi tum us tarah pasand ho
Yusuf ko jis tarah Zulaikha pasand hai

Oose hi maalum hai intezaar ki Qeemat
Manzil se pahle jise rasta pasand hai

Auron ki hansi bhi achhi hai lekin
Teri muskurahat mujhe zyada pasand hai

Maine maana ashiq hai 'Mustafiz' se achhe
Magar mujh ko uska bharosa pasand hai

*****

बेग़ैरत ज़माने को तमाशा पसंद है
तो तुम भी बताओ तुम्हे क्या पसंद है

मिलती है मेरी पसंद सब की पसंद से 
मुझे भी तुम्हारा चेहरा पसंद है

वो तो दिलाती है उल्फत तेरी आँखों की मस्ती
वगरना मछली को सारा दरिया पसंद है

तुम्हे जैसे तड़पना अच्छा लगे है
तो मुझ को भी चराग़ जलता पसंद है

मुझ को भी तुम उस तरह पसंद हो
युसूफ को जिस तरह ज़ुलैख़ा पसंद है

उसे ही मालुम है इंतज़ार की क़ीमत
मंज़िल से पहले जिसे रास्ते  पसंद है 

औरों की हंसी भी अच्छी है लेकिन
तेरी मुस्कराहट मुझे ज़्यादा पसंद है

मैंने माना आशिक़ हैं मुस्तफिज़ से अच्छे 
मगर मुझ को उसका भरोसा पसंद है 

written by Mustafiz 

Sunday, June 21, 2020

MERI NEKIYON KO GUNAHON NE CHHUPA RAKKHA HAI

Meri nekiyon ko gunahon ne chhupa rakkha hai
Jaise kisi surat ko hijabon ne chhupa rakkha hai

Jo haajat-mand nahi wahan ja rahi hai teri roushni
Aur jahan zarurat hai oose chhaon ne chhupa rakkha hai

Jo Aankhon se vaabasta hain wo kahin mil bhi jaae shayad
Oose kahan dhundu jise hawaon ne chhupa rakkha hai

Ik teer hai uske husn ki hifaazat ko hardam
Ek khanjar unki adaaon ne chhupa rakkha hai

Kuchh pal zindagi ke unke naam kar di maene
Aur kuchh lamhon ko Qitabon ne chhupa rakkha hai

Kaii mahfuz hai teri ibaadat se yaa rab
Kitnon ko Maa ki duaon ne chhupa rakkha hai

*****

मेरी नेकियों को गुनाहों ने छुपा रक्खा है 
जैसे किसी सूरत हो हिजाबों ने छुपा रक्खा है

जो हाजत-मंद नहीं वहां जा रही है तेरी रौशनी
और जहाँ ज़रूरत है उसे छाओं रक्खा है

जो आँखों से वाबस्ता हैं वो कहीं मिल भी जाए शायद
उसे कहाँ धुंडु जिसे हवाओं ने छुपा रक्खा है

इक तीर है उसके हुस्न की हिफाज़त को हर दम 
एक खंजर उनकी अदाओं ने छुपा रक्खा है

कुछ पल ज़िन्दगी के उनके नाम कर दी मैने
और कुछ लम्हों को किताबों ने छुपा रक्खा है

कई महफूज़ है तेरी इबादत से या रब
कितनों को माँ की दुआओं ने छुपा रक्खा है

Meaning:-
Neki:- Good Deeds, पुन्य 
Hijaab:- Head Covering
Haajat-mand:- Needy, ज़रूरतमंद 

written by Mustafiz








AB SABAB RAHE BHI TO GILA KISI SE NAHI

Ab sabab rahe bhi to gila kisi se nahi
Hame mohabbat ka sila mila kisi se nahi

Hai ranj bohot magar ek tasalli ki ab
Ishq-o-mohabbat ka jhamela kisi se nahi

Haae ye sitam ki un khamosh labon mei
Dab gaye jo raaz to khula kisi se nahi

Ek nadaani jo bana uske murjhane ki wajah
Ki ab talak vo phool bhi khila kisi se nahi

******

अब सबब रहे भी तो गिला  किसी से नहीं
हमें मोहब्बत का सिला मिला किसी से नहीं

है रंज बोहोत मगर एक तसल्ली की अब
इश्क़-o -मोहब्बत का झमेला किसी से नहीं

हए ये सितम की उन खामोश लबों में
दब गए जो राज़ तो खुला किसी से नहीं

एक नादानी जो बना उसके मुरझाने की वजह
की अब तलाक वो फूल भी खिला किसी से नहीं

Meaning:-
Sabab:- Reason, वजह
Gila:- Complaint, शिकायत
Sila:- Gift, उपहार
Ranj:-Sorrow, दुःख 
Tasalli:- Satisfaction, तसल्ली 

written by Mustafiz








HAIRAT HAI CHAMAN MEI GULON KI SADA SUN KAR

Hairat hai chaman mei gulon ki sada sun kar
Afsos hai khalq ki un par jafa sun kar

Shab-e-furqat se haasil tanhai mujhe
Sukhanvar aae mujhe tanha sun kar

Mae bhi bheed mei jaa kar shaamil hua
Logon se unki adaa sun kar

Kya mae khud bura ho gaya
Sochta hun khud ko bura sun kar

Kuchh to sharm karo jhuut bolne se
Kya sochta hoga tumhe Khuda sun kar

Kuchh to kaho yun na dard do hamen
Kuchh to saza do meri khata sun kar

*****

हैरत है चमन में गुलों की सदा सुन्न कर
अफ़सोस है ख़ल्क़ की उन पर जफ़ा सुन कर

शब्-ए-फुरक़त से हासिल तन्हाई मुझे
सुख़नवर आए मुझे तनहा सुन कर

मए भी भीड़ में जा कर शामिल हुआ
लोगों से उनकी अदा सुन कर

क्या मए खुद बुरा हो गया
सोचता हूँ खुद को  बुरा सुन कर

कुछ तो शर्म करो झूठ बोलने से
क्या सोचता होगा तुम्हे खुदा सुन कर

कुछ तो कहो यूँ न दर्द दो हमें
कुछ तो सजा दो मेरी खता सुन कर

written by Mustafiz

page top middle