Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.
Showing posts with label *Nazm. Show all posts
Showing posts with label *Nazm. Show all posts

Monday, October 31, 2022

DOSTI

 Thoda mushkil hai bayaan karna

Isi liye asaani se nahi hota

Kyun ki dosti chehre dekh ke nahi

Balki bharosa dekh kar hota hai


Ab har kisi se baat ho aur wo dost ban jae

Mumkin to hai nahi

Aur ek dost ho aur usse haesha baat ho

Ye bhi mumkin nahi


Waise dosti mei kuchh bhi laazmi nahi hota

Dost achha bhi hota hai aur bura bhi


Agar wo hamesha aap ka saath de to achha dost

Agar matlabi ho to kharaab dost

Par dost to hota hi hai


Kyun ki dosti mei koi shartt nahi hoti


Agar mujh se aap ittefaaq rakhte hain to thik

Nahi to dosti ke bayanaat bhi mukhtalif hote hain

Aap apne tarike se rang aur roop de sakte hain


written by Mustafiz Raza

Kuchh der aur thahar jaao

 Kuchh der aur thahar jao

Thodi aur baaten karte hain

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

itni bhi kya jaldi hai


Bas biscuit ka ek packet

Aur 2 cup chai mangwaate hain

Thodi dur chalenge saath

Phir tum ghar chale jaana

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

Itni bhi kya jaldi hai


Saara dil to dur rahe

Ab ye shaam hai nisbat ki

Ye ek shaam na kho jaae

Kuchh der aur thahar jao

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

Itni bhi kya jaldi hai


Itni bhi kya jaldi hai


written by Mustafiz Raza

Khamosh samandar ko tu nakaam na samajh

This Nazm is dedicated to Virat Kohli. 


Khamosh samandar ko tu nakaam na samajh

Safar bohot hai rukne ko anjaam na samajh


Dil mei rahti hai vatan ki mohabbat mujhe mei

Tujh se zyada hai raqibon se baghavat mujh mei


Uth'ti hui ungliyon se na gilaa karta hun

Har ek se mae dil se mila karta hun


Abhi toota hun to pathhar se hai maara tum ne

Waqt aaega ki samjhoge ki sirf haara tumne


Roshni aaegi ek naya kal aaega

Ek chingari aaegi aur charagh jal jaega


Written by Mustafiz Raza

Friday, June 10, 2022

Ye Zindagi ( Nazm )

Ye zindagi umeedoñ ke pare hai
Jisme kaiyon ke khwaab unchi choti mei rahte hain.
Zara si uljhanoñ ki hava se ludak kar gir jaate hai.
Aur saare khwaab chur ho jaate hain..

Ye zindagi
Jisme haqikat ko khwab ki tasvir banane mei.
Zindagi ke kaii rangin saal waqt ke kaagaz par bikhar jaate hain..

Ham jis waqt ke mehrbaani ki khwahishen liye rahte hain...
Kaash oose bhi ham khud ka maza chakha paate...

Ye bechara waqt meri fanaa se milne ko douda chala ja rha hai....
Thak gaya hoga...
Thodi der ruk jata...
Kuchh kha pi leta

Tab mae oose ek nind ki goli mila kar oose de deta aur wo gehri nind mei chala jaata...

Aur wo jab uth'ta to usse pahle hi ,mae apni zindagi liye dur kahin jaa kar bas jaata....

Ye zindagi
Kaise kaise khwaab dikhati hai..
Waqt ke saath mili hui hai...
Ye zindagi..


Thursday, March 10, 2022

NAZM

 Ek khamoshi ki divaar khadi hai
Ek haseena zid pe adi hai

एक ख़ामोशी की दीवार कड़ी है
एक हसीं ज़िद पे अड़ी है 

Oose manau to manau kaise
Mushkil ya Rab bohot badi hai

उसे मनौ तो मनौ कैसे
मुश्किल या रब बहुत बड़ी है 

written by Mustafiz 



#shayari4wold #shayari #shayri #urdu #urdupoetry #urduadab #urdulove #rekhta #best_shayari_blog  
#best_shayari #nazm #poetry

NAZM

 Dil mei tere honto ki pyaas rahne de
Rahne de mujh ko tu udaas rahne de

दिल में तेरे होंठों की प्यास रहने दे 
रहने दे मुझको तू उदास रहने दे 

Mat le mera naam mehfil ke saamne
Mujh ko tu bas thoda khaas rahne de

मत ले मेरा नाम महफ़िल के सामने
मुझ को तू बस थोड़ा ख़ास रहने दे 

written by Mustafiz 


NAZM

Fir se tishnagi ka ehsaas lout aaega
Dekhna wo mere paas lout aaega

फिर से तिश्नगी का एहसास लौट आएगा
देखना वो मेरे पास लौट आएगा 

Aaega to muskura dijiyega pal bhar bhi
Vagarna wo fir se udaas lout aaega

आएगा तो मुस्कुरा दीजियेगा पल भर भी 
वगरना वो फिर से उदास लौट आएगा

written by Mustafiz 


Saturday, February 19, 2022

Nazm ( ASL MEI YE EK MOUT HAI )

 Asl mei ye ek mout hai hijr jiska naam hai
Tere baghair pal kya zindagi bhi tamaam hai

अस्ल में ये एक मौत है हिज्र जिसका नाम है
तेरे बग़ैर पल क्या ज़िन्दगी भी तमाम है 

Haan haan maan liya ki hun bad-gumaan
Thoda besharam thoda be-fikar

हाँ हाँ मान लिया की हूँ बद गुमाँ 
थोड़ा बेशरम थोड़ा बे फिकर 

Magar aye dil nasheen tujhe pata nahi
Ye Tarz-e-amal mohabbat mei aam hai

मगर ए दिल नशीन तुझे पता नहीं
ये तर्ज़ ए  अमल मोहब्बत में आम है

Bas hai ik gawaah mere pyaar ka
Jo hai har jagah chhupa hua

बस है इक गवाह मेरे प्यार का
जो है हर जगह छुपा हुआ 

Wo mili hai mujh ko jis tarah
Aye Khuda tujhe mera salaam hai

वो मिली है मुझ को जिस तरह 
ए खुदा तुझे मेरा सलाम है 

Mujhe din nahi mujhe shaam de
Teri baahon mei mujh ko araam de

मुझे दिन नहीं मुझे शाम दे 
तेरे बाहों में मुझ को आराम दे

Mujhe duba le tere un chashm mei
Teri aankhon mei mohabbat ka jaam hai

मुझे डूबा ले तेरे उन चश्म में
तेरी आँखों में मोहब्बत का जाम है

Mujhe qaid kar aur saza bhi de
Mere zakhm ko tu hawa bhi de

मुझे क़ैद कर और सज़ा भी दे
मेरे ज़ख्म को तू हवा भी दे 

Tera jo ho dil wo tu kar dakhal
Ye aashiq ab tera ghulam hai

  तेरा जो हो दिल  वो तू कर दख़ल 
ये आशिक़ अब तेरा तेरा ग़ुलाम है 

Na radeef dekh na behar se mil
Na dikha mujhe qaafiya ka dar

न रदीफ़ देख न बेहेर से मिल
न दिखा मुझे क़ाफ़िया का डर 

Ye jaisa hai isko na chhed ab
Ye 'Mustafiz' ka qalaam hai

ये जैसा है इसको न छेड़ अब 
ये 'मुस्तफिज़ ' का कलाम है 

written by Mustafiz

Sunday, June 21, 2020

NAZM- GAUR SE SUNIYEGA

Jitni zarurat hai utna kahunga
Jitni himmat hai utna kahunga

Jo baat kahni hai mukammal hogi
Har ek baat par us mei meri amal hogi

Kuchh baaten tumhe raaz lagenge
Kuchh baaten pahle hi pata hongi

Kaii baaten aesi hongi jo khush karengi
Kuchh baaten hongi yaqeen se pare

Agar be-gharaz lage to uth kar chale jaiyega
Agar baith gaye
To
Gaur se suniyega

******

जितनी ज़रूरत है उतना उतना कहूंगा
जितनी हिम्मत है उतना कहूंगा

जो बात कहनी है मुकम्मल होगी
हर एक बात पर उस में मेरी अमल होगी

कुछ बातें तुम्हे राज़ लगेंगे
कुछ बातें पहले ही पता होंगी

कई बातें ऐसी होंगी जो खुश करेंगी
कुछ बातें होंगी यक़ीन से परे

अगर बे-ग़रज़ लगे तो उठ कर चले जाइएगा
अगर बैठ गए
तो
गौर से सुनियेगा

Meaning:-
Mukammal:- Complete, पूरा
Amal:- Obedience Act , कार्य करना
Be-gharaz:- No Reason, बे-वजह

written by Mustafiz





Tuesday, April 21, 2020

Nazm- YAAD

YAAD

Kuchh pal unki yaad mei guzaare hamne
Kuchh pal unki khamoshi ko yaad kiya

Ajib kashmakash mei nikalta hai waqt hamara
Un sitamgar honton ne jo zakhm diye hain
Unhe yaad kar ke muskuraate hain
Unhe yaad kar ke saham jaate hain

Kaash wo hamse kuchh kah dete
Kaash unhe ham padh paate
Kaash wo subh ki sukoon hoti
Kaash unse shaam ki thandak paate
Kaash ye kaash ki zarurat na hoti

Na pucho ki wo hame kab yaad aate hain...?
Shajar ke patton ke lehraate huwe
Chidiyon ke pedon se gaate huwe
Be-sabab yuhi muskuraate huwe

Unki meethi hansi ko yaad kiya
Unke chehre ki roushni ko yaad kiya
Wo pal ham hasna bhul gaye
Jab unki be-rukhi ko yaad kiya
Wo yaad aaye hame kuchh is tarah
Jaise hamne har kisi ko yaad kiya

..........
Kuchh pal unki yaad mei guzaare hamne
Kuchh waqt unki khamoshi ko yaad kiya


***********

कुछ पल उनकी याद में गुज़ारे हमने
कुछ वक़्त उनकी ख़ामोशी को याद किया

अजीब कश्मकश में निकलता है वक़्त हमारा
उन सितमगर होंटों ने जो ज़ख्म दिए हैं
उन्हें याद कर के मुस्कुराते है
उन्हें याद कर के सहम जाते हैं

काश वो हमसे कुछ कह देते
काश उन्हें हम पढ़ पाते
काश वो सुभ की सुकून होती
काश उनसे शाम की ठंडक पाते
काश ये काश की जरूरत न होती

न पूछो कि वो हमे कब याद आते हैं
शजर के पत्तों के लहराते हुए
चिड़ियों के पेड़ों से गाते हुए
बेसबब यूहीं मुस्कुराते हुए

उनकी मीठी हसी को याद किया
उनके चेहरे की रौशनी को याद किया
वो पल हम हस्ना भूल गए
जब उनकी बेरुखी को याद किया
वो याद आए हमे कुछ इस तरह
जैसे हमने हर किसी को याद किया
........
कुछ पल उनकी याद में गुज़ारे हमने
कुछ वक़्त उनकी ख़ामोशी को याद किया

written by Mustafiz

page top middle