Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.
Showing posts with label *Audios. Show all posts
Showing posts with label *Audios. Show all posts

Sunday, August 12, 2018

SHAYARI BY MIRZA GALIB AND AUDIO BY MUSTAFIZ RAZA

Here is a Shayari by The Great Mirza Galib. Audio by Mustafiz Raza.

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle


Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle


Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle


Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka
Agar is turra-e-pur pech-o-kham ka pech-o-kham nikle


Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle


Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle


Hui jin se tavaqqo khastagi ki daad paane ki
Voh ham se bhi zyaada khasta-e-tegh-e-sitam nikle


Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle 


Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle

Audio↧

Friday, August 10, 2018

DIL TYYAAR NA THA

Dil tyyaar na tha itne zakhm sahne ko
Na aankhen tyyaar thi.n bahne ke liye
Mile bohot thokar zindagi ki raah par
Unki muskaan kaafi thi dard sahne ke liye
Aur mae bekaraar tha izhar-e-mohabbat ko
Par labb tyyaar na the kahne ke liye

दिल तैयार न था इतने ज़ख्म सहने को
न आँखें तैयार थी.न बहने के लिए
मिले बोहोत ठोकर ज़िन्दगी की राह पर
उनकी मुस्कान काफी थी दर्द सहने के लिए
और मए बेकरार था इज़हार-ए-मोहब्बत को
पर लब्ब तैयार न थे कहने के लिए

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

Thursday, August 9, 2018

HAI MERI ZINDAGI (POETRY)

"Hai meri zindagi ek paheli ke jaesi"
"Hui dushman kabhi to kabhi saheli ke jaesi"

"Raste kathin yahan ke aur andhera bhara huwa"
"Nikal gaya mei ghar se par thoda dara huwa"

"Ummeed hai ke ho jaunga un sab se aazaad"
"Andhera rahega nahi ek roshni ke baad"

********

"है मेरी ज़िन्दगी एक पहेली के जैसी"
"हुई दुश्मन कभी तो कभी सहेली के जैसी"

"रस्ते कठिन यहाँ के और अँधेरा भरा हुवा"
"निकल गया में घर से पर थोड़ा डरा हुवा"

"उम्मीद है के हो जाऊंगा उन सब से आज़ाद"
"अँधेरा रहेगा नहीं एक रौशनी के बाद"

written by Mustafiz

Audio↧

Wednesday, August 8, 2018

JAB RAHTE NAHI LAVZ

Jab rahte nahi lavz paas guftugu ke liye
Baaten karte hain farebi oosulon ki
Hifazat karle koi kitna bhi par asar nahi
Kaaton ko aati hai mokammal paasbaani phoolon ki

जब रहते नहीं लव्ज़ पास गुफ्तुगू के लिए
बातें करते हैं फरेबी उसूलों की
हिफाज़त करले कोई कितना भी पर असर नहीं
काटों को आती है मोकम्मल पासबानी फूलों की

Meaning:-
Guftugu:- Talk, बात चित
Farebi:- Traitor, धोका देने वाला 
Oosulon:- Law, go by the book, जो सच है और लिखा हुवा है क़ानून में
Hifazat:- Protection, रक्षा
Mokammal:- Completely, पूरी तरह
Paasbaan:- Protector, रक्षा करने वाला

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

AANKHEN KHOL KAR

Aankhen khol kar sapne dekhe jaate agar
To haqikat andhere mei bhatakta rahta
Dil ka mohabbat se waasta hai nahi dhadakne se siwa
Hota aesa agar to jaan chali jaati par Dil dhadakta rahta

ऑंखें खोल कर सपने देखे जाते अगर
तो हक़ीक़त अँधेरे में भटकता रहता\
दिल का मोहब्बत से वास्ता है नहीं धड़कने से सिवा
होता ऐसा अगर तो जान चली जाती पर दिल धड़कता रहता

Meaning:-
Haqikat:- Reality, सच्चाई

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE


Audio ↧

AANKHON SE SHIKAYAT

Aankhon se shikayat karen to kaese
Thodi si baat par naraz ho kar bahne chale
Par shikayat hui unse kai dafa meri
Lekar chashm-e-tar choddh berukhi kahne chale
Maalum nahi mohabbat aur chand todne ki baaten goya
Ghar abhi bana nahi aur rahne chale

आँखों से शिकायत करें तो कैसे
थोड़ी सी बात पर नाराज़ हो कर बहने चले
पर शिकायत हुई उनसे कई दफा मेरी
लेकर चश्म-ए-तर चोढ़ बेरुखी कहने चले
मालुम नहीं मोहब्बत और चाँद तोड़ने की बातें गोया
घर अभी बना नहीं और रहने चले

Meaning:-
Shikayat:- Complaint, शिकायत करना
Chashm-e-tar:- Eyes with tears, आंसू से भरी आँख
Berukhi:- Sulking, नाराज़गी

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE
For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

QADAM RUKTE HAIN

Qadam rukte hain ab unki choukhat chumne se pahle
Fitoor chhat gaya rukti aahat sunne se pahle
Har ghadi uska nasha tha zehen mei
Mae samhal gaya ghairat jhukne se pahle
Ashq gir rahe the aankhon se aksar lekin
Ponch leta hun unke sukhne se pahle
Ab mae raha nahi unka, jo mokammal pahle tha
Soch len.n wo khud faqat puchne se pahle

क़दम रुकते हैं अब उनकी चौखट चूमने से पहले
फितूर छत गया रूकती आहात सुनने से पहले
हर घडी उसका नशा था ज़हन में
मए सम्हाल गया ग़ैरत झुकने से पहले
अश्क़ गिर रहे थे आँखों से अक्सर लेकिन
पोंछ लेता हूँ उनके सूखने से पहले
अब मए रहा नहीं उनका, जो मोकम्मल पहले था
सोच लें वो खुद फ़क़त पूछने से पहले

Meaning:-
Fitoor:- Continously doing same thing again and again, एक चीज़ को बार बार करना
Ghairat:-Respect(Here it means self respect), खुद की इज़्ज़त, इज़्ज़त
Mokammal:- Completely, पूरी तरह
Faqat:- Only, सिर्फ

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click, HERE

Audio↧

Monday, August 6, 2018

MAE LAD RAHA HUN KHUD SE HI (POETRY)

Mae lad raha hun khud se hi
Mae khud se hun pareshaan bhi

Baaten karta hun darakht se mae
Mae uska dard samhaj chuka ab
Bhar gayi hain aankhen meri
Aur ro raha hai aasmaan bhi

Mae lad raha hun khud se hi
Mae khud se hun pareshaan bhi

Dekh leta hun mae ask khud ka
Kabhi paani mei to kabhi aaine mei
Dikhta hun Shar kabhi mae
Kabhi dikhta hun Insaan bhi

Mae lad raha hun khud se hi
Mae khud se hun pareshaan bhi

Zindagi juwe se kam nahi hai
Iss dard ka marham nahi
Khush hota hun faida dekh kar
Sah leta hun Nuksaan bhi

Mae lad raha hun khud se hi
Mae khud se hun pareshaan bhi

Sirf mae akela dard mei nahi
Sirf mae akela nadaan nahi
Mitega nahi wajud khud ka
Hifazat rahega nishaan bhi

Mae lad raha hun khud se hi
Mae khud se hun pareshaan bhi

मए लड़ रहा हूँ  खुद से ही
मए खुद से हूँ परेशान भी

बातें करता हूँ दरख़्त से मए
मए उसका दर्द सहज चूका अब
भर गयी हैं आँखें मेरी
और रो रहा है आसमान भी

मए लड़ रहा हूँ  खुद से ही
मए खुद से हूँ परेशान भी

देख लेता हूँ मए अक्स खुद का
कभी पानी में तो कभी आईने में
दीखता हूँ शर कभी मए
कभी दीखता हूँ इंसान भी

मए लड़ रहा हूँ  खुद से ही
मए खुद से हूँ परेशान भी

ज़िन्दगी जुवे से काम नहीं है
इस दर्द का मरहम नहीं है
खुश होता हूँ फ़ायदा देख कर
सह लेता हूँ नुक्सान भी

मए लड़ रहा हूँ  खुद से ही
मए खुद से हूँ परेशान भी

सिर्फ मए अकेला दर्द में नहीं
न मए अकेला नादान हूँ(or) सिर्फ मए अकेला नादान नहीं
मिटेगा नहीं वजूद खुद का
हिफाज़त रहेगा निशाँ भी

मए लड़ रहा हूँ  खुद से ही
मए खुद से हूँ परेशान भी

Meaning:-
Shar:- Evil, शैतान

written by Mustafiz

For image of the above poem, Click HERE

Audio↧

KIS RANG SE

Kis rang se teri, Tasweer banaun mae
Kya rang Gulab ki tujhme sajaun mae
Tumhare naraaz chehre par chamak ajib hai
Sao tarikon se fir tujhko manaun mae

किस रंग से तेरी, तस्वीर बनाऊं मए
क्या रंग गुलाब की तुझमे सजाऊँ मए
तुम्हारे नाराज़ चेहरे पर चमक अजीब है
साओ तरीकों से फिर मानों मए

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

Sunday, August 5, 2018

TASHREEH ZARURAT HAME NAHI

Tashreeh zarurat hame nahi ajmat mei aap ki
Khwabeeda mae nahi hukumat mei aap ki

Mae sar-ba-sar hun aapka hamesha ke liye
Mera Dil bhi aap ka, poori saltanat bhi aap ki

******


तशरीह ज़रूरत हमें नहीं अजमत में आप की

ख़्वाबीदा मए नहीं हुकूमत में आप की

मए सर-बा-सर हूँ आप का हमेशा के लिए
मेरा दिल भी आप का,पूरी सल्तनत भी आप की


Meaning:-

Tashreeh:- Explanation, व्याख्या
Ajmat:- Greatness, बड़प्पन
Sar-Ba-Sar:- Completely, Entirely, पूरी तरह
Saltanat:- Kingdom, राज्य


written by Mustafiz



For image of the above shayari, Click HERE



Audio↧


Saturday, August 4, 2018

KEEMAT ASHQ KI

"Keemat ashq ki aankhon ko nahi pata shayad"
"Kamzori insaan ki aksar dikha dete hain"
"Ya fir unhe hi pata hai ashq ki ehmiyat poori"
"Zarurat ke waqt jazbaat jata dete hain"
"Ho sakta hai"
"Unhe bhi shayad pata nahi keemat mohabbat ki"
"Humse baat na karne ki sazaa dete hain"
"Ya fir unhe hi pata hai sahi ehmiyat mohabbat ki"
"Dard par ishq-e-marham laga dete hain"

"कीमत अश्क़ की आँखों को नहीं पता शायद"
"कमज़ोरी इंसान की अक्सर दिखा देते हैं"
"या फिर उन्हें ही पता है अश्क़ की एहमियत पूरी"
"ज़रूरत के वक़्त जज़्बात जता देते हैं"
"हो सकता है"
"उन्हें भी शायद पता नहीं कीमत मोहब्बत की"
"हमसे बात न करने की सज़ा देते हैं"
"या फिर उन्हें ही पता है सही एहमियत मोहब्बत की"
"दर्द पर इश्क़-ए-मरहम लगा देते हैं"

Meaning:-
Ehmiyat:- Importance, महत्वा
Jazbaat:- Feelings, भावना
Ishq-e-marham:- salve of love, इश्क़ का मरहम

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

Friday, August 3, 2018

NAZAKAT BHI, RANJISH BHI

Nazakat bhi, Ranjish bhi, Afreen bhi tum ho
Darakht ke patton par chamakti shabnam bhi tum ho
Khud ki parwah ab nahi pahle ki tarah mujhe
Zakhm bhi tum aur marham bhi tum ho
Taskin mei hun mokammal aur lag raha ke goya
Dil bhi tum meri aur dhadkan bhi tum ho

नज़ाकत भी,रंजिश भी, आफ्रीन भी तुम हो
दरख़्त के पत्तों पर चमकती शबनम भी तुम हो
खुद की परवाह अब नहीं पहले की तरह मुझे
ज़ख्म भी तुम और मरहम भी तुम हो
तस्कीन में हूँ मोकम्मल और लग रहा के गोया
दिल भी तुम मेरी और धड़कन भी तुम हो

Meaning:-
Nazakat:-Elegence, अदा
Ranjish:- Anguish, दर्द
Afreen:- Beautiful, खूबसूरत
Shabnam:- Dew, ओस की बूँदें
Taskin:-Satisfaction, संतुस्ती
Mokammal:- Complete, पूरा होना

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

SAALON BEETE REYAAZ KARTE KARTE

Saalon beete reyaaz karte karte
Mehnat lagti hai fankaar banne mei

Mujhe izhaar karne mei zamana lag gaya
Unhe lamha nahi laga inkaar karne mei


*****

सालों बीते रेयाज़ करते करते

म्हणत लगती है फनकार बनने में

मुझे इज़हार करने में ज़माना लग गया
उन्हें लम्हा नहीं लगा इंकार करने में


Meaning:-

Reyaaz:- Practice, अभ्यास
Fankaar:- Artist, कलाकार


written by Mustafiz





For image of the above shayari, Click HERE

Audio ↧

ROK LO MUJHE

Rok lo mujhe ke abhi bhi waqt hai
Thodi der khud ruki to mere labb se nikal jaaega
Aankhon ke ishaare bhi samhaj jaunga Qasam se
Thaam lunga labb ko aur dil khud samhal jaega
Nahi to
Hame aapne mohabbat hai
Ye sab ko pata chal jaega

रोक लो मुझे के अभी भी वक़्त है
थोड़ी देर खुद रुकी तो मेरे लब्ब से निकल जाएगा
आँखों के इशारे भी समहज जाऊंगा क़सम से
थाम लूंगा लब्ब को और दिल खुद सम्हाल जाएगा
नहीं तो
हमें आपसे मोहब्बत है
ये सब को पता चल जाएगा

written by Mustafiz

Audio↧

BABA SAKHAWAT HIND MEI

Baba Sakhawat hind mei lete hain dekho shaan se
Zarra zarra khil utha paake khushboo unki jaan se
Unke shaan-e-qaram ka andaaza hame thoda bhi nahi
Sab kuch milta hai unki ajmat ki dukaan se
Wo jude hain sabse gulab se khushboo ki tarha
Na faqat zameen se, na faqat aasmaan se

बाबा सखावत हिन्द में लेते हैं देखो शान से
ज़र्रा ज़र्रा खिल उठा पाके खुशबू उनकी जान से
उनके शान-ए-करम का अंदाजा हमें थोड़ा भी नहीं
सब कुछ मिलता है उनकी अजमत की दूकान से
वो जुड़े हैं सबसे गुलाब से खुशबू की तरह
न फ़क़त ज़मीन से, न फ़क़त आसमान से

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

MIL JAENGE UNHE BOHOT

Mil jaenge unhe bohot se jaanne waale
Humsa anjana unhe koi na milega
Raah mei milenge unhe parwaane bohot
Humsa deewana unhe koi na milega

मिल जाएंगे उन्हें बोहोत से जान्ने वाले
हंसा अनजाना उन्हें कोई न मिलेगा
राह में मिलेंगे उन्हें परवाने बोहोत
हंसा दीवाना उन्हें कोई न मिलेगा

written by Mustafiz

Audio↧

AJMAT BHI HO RAHI (BABA SAKHAWAT)

Ajmat bhi ho rahi, Khushboo bhi aa rahi hai
Jannat ke bagichon ke phool hain sab mazaar mei
Fiqr hai nahi, Fakhr hai bohot
Baba Sakhawat hain hamare KhatKulBahar mei

अजमत भी हो रही, खुशबू भी आ रही है
जन्नत के बगीचों के फूल हैं सब मज़ार में
फिक्र है नहीं, फख्र है बोहोत
बाबा सखावत हैं हमारे खटकुलबहर में

Meaning:-
Ajmat:-Glory, Greatness, बड़प्पन
Fiqr:- Tension, चिंता
Fakhr:- Proud (+ve), गर्व

written by Mustafiz

Audio↧

ROSHNI THI THODI KAM (For Infant Baby)

Roshni thi thodi kam aur aankhen taras rahi thi.n
Rukhsat huwe Farishte apni jaan chhodh kar
Inayat huwi hum par aur huwa hai moutjza
Aaya hai ghar pe chand khud aasmaan chhodh kar

रौशनी थी थोड़ी कम और आँखें तरस रही थीं
रुखसत हुवे फ़रिश्ते अपनी जान छोड़ कर
इनायत हुवी हम पर और हुवा है मौजज़ा
आया है घर पे चाँद खुद आसमान छोड़ कर

Meaning:-
Rukhsat:- Leave, चले जाना
Farishte:- Angels, दूत्त
Inayat:- Blessings, शुभकामनाए
Moutjza/Moujza:- Miracle, चमत्कार

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

Thursday, August 2, 2018

TWO LINERS 22 ( Shayari4world )

Shartt na laga humse berukhi ki ae zalim
Tujhse jeetna hame kabhi aaya hi nahi

शर्त्त न लगा हमसे बेरुखी की ऐ ज़ालिम
तुझसे जीतना हमें कभी आया ही नहीं

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

JEE LETA HUN

"Jee leta hun sapne mei hi thodi si zindagi apni"
"Haqikat se waasta toot chuka kabse"
"Milte nahi jise dikhaun bandagi apni"
"Khud se waabasta chhoot chuka jabse"

"जी लेता हूँ सपने में ही थोड़ी सी ज़िन्दगी अपनी"
"हक़ीक़त से वास्ता टूट चूका कबसे"
"मिलते नहीं जिसे दिखाऊं बंदगी अपनी"
"खुद से वाबस्ता छूट चूका जबसे"

Meaning:-
Waasta/Vaasta:- Connection, संपर्क
Bandagi:- Devotion, Worship, इबादत
Waabasta:- Attachment, आसक्ति

written by Mustafiz

For image of the above shayari, Click HERE

Audio↧

page top middle