Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.
Showing posts with label *Special. Show all posts
Showing posts with label *Special. Show all posts

Saturday, July 2, 2022

Pyaas Lagi Thi Ghazab Ki Magar Paani Mei Zehar Tha


Pyaas lagi thi gazab ki….magar pani me zeher tha
Peete to marjate aur na peete to bhi marjate..ll

Bas yahi do masle zindagi bhar na hal hue
Na neend poori hui…na khwaab mukammal hue

Waqt ne kaha….kaash thoda aur sabr hota
Sabr ne kaha…kaash thoda aur waqt hota

Subah subah uthna padta hai kamaane k liye saaheb..
Aaram kamaane nikalta hu aaram chodkar

Hunar sadko par tamasha karta hai
Aur kismat mehlon me raaj karti hai

Shikayate to bahot hai tujhse aye zindagi
Par chup isliye hu ke jo diya tune wo bhi bahuto ko naseeb nahi hota

Ajib soudaagar hai ye waqt bhi
Jawani ka laalach de ke bachpan le gaya

Ab ameeri ka laalach de ke jawani le jaega
Laut aata huñ waapas ghar ki taraf har roz thaka haara

Daulat ki bhukh aisi lagi ki kamane nikal gaye,
Jab daulat mili to hath se rishte nikal gaye

Bachon ke sath rahne ki fursat na mil saki
Fursat mili to bache khud kamane nikal gye



*-*-*--*-*-*-*--*-*-*-*


प्यास लगी थी गजब की…मगर पानी मे जहर था…
पीते तो मर जाते और ना पीते तो भी मर जाते.

बस यही दो मसले, जिंदगीभर ना हल हुए!!!
ना नींद पूरी हुई, ना ख्वाब मुकम्मल हुए!!!

वक़्त ने कहा…..काश थोड़ा और सब्र होता!!!
सब्र ने कहा….काश थोड़ा और वक़्त होता!!!

सुबह सुबह उठना पड़ता है कमाने के लिए साहेब…।।
आराम कमाने निकलता हूँ आराम छोड़कर।।

“हुनर” सड़कों पर तमाशा करता है 
और “किस्मत” महलों में राज करती है!!

“शिकायते तो बहुत है तुझसे ऐ जिन्दगी,
पर चुप इसलिये हु कि, जो दिया तूने,
वो भी बहुतो को नसीब नहीं होता”..

अजीब सौदागर है ये वक़्त भी!!!!
जवानी का लालच दे के बचपन ले गया…

अब अमीरी का लालच दे के जवानी ले जाएगा
लौट आता हूँ वापस घर की तरफ… हर रोज़ थका-हारा,

दौलत की भूख ऐसी लगी की कमाने निकल गए
जब दौलत मिली तो हाथ से रिश्ते निकल गए

बच्चों के साथ रहने की फुरसत न मिली कभी
फुरसत मिली तो बच्चे खुद कमाने निकल गए।


Other misras 👇

आज तक समझ नहीं आया की जीने के लिए
काम करता हूँ या काम करने के लिए जीता हूँ।

“थक गया हूँ तेरी नौकरी से ऐ जिन्दगी
मुनासिब होगा मेरा हिसाब कर दे…!!”


भरी जेब ने ‘ दुनिया ‘ की पहेचान करवाई और खाली जेब ने ‘ अपनो ‘ की.
जब लगे पैसा कमाने, तो समझ आया,

शौक तो मां-बाप के पैसों से पुरे होते थे,
अपने पैसों से तो सिर्फ जरूरतें पुरी होती है। …!!!

हंसने की इच्छा ना हो…
तो भी हसना पड़ता है…

कोई जब पूछे कैसे हो…??
तो मजे में हूँ कहना पड़ता है…

ये ज़िन्दगी का रंगमंच है दोस्तों….
यहाँ हर एक को नाटक करना पड़ता है.

“माचिस की ज़रूरत यहाँ नहीं पड़ती…
यहाँ आदमी आदमी से जलता है…!!”

दुनिया के बड़े से बड़े साइंटिस्ट,
ये ढूँढ रहे है की मंगल ग्रह पर जीवन है या नहीं,

पर आदमी ये नहीं ढूँढ रहा
कि जीवन में मंगल है या नहीं।

गए थे गुनाहों की माफ़ी माँगने
वहाँ एक और गुनाह कर आए हम ।



#shayari #shayari4world #urdupoetry #sher #nazm #urdupoem #shayri #poetry #dailyshayari

Pyas lagi thi gazab ki magar paani mei zehar tha

Friday, July 1, 2022

Agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhara ( Ameer Amir )


Agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhara
Ya us pe mabni koi ta'assur koi ishara to main tumhara

Ghurur-parvar ana ka maalik kuchh is tarah ke hain naam mere 
Magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara to main tumhara

Tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagauñ baazi 
Agar main jiita to tum ho mere agar main haara to main tumhara

Tumhara ashiq tumhara muḳhlis tumhara sathi tumhara apna
Rahana in men se koi duniya men jab tumhara to main tumhara

Tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta huñ
Agar muqaddar ka koi Toota kabhi sitara to main tumhara

Ye kis pe taaviz kar rahe ho ye kis ko paane ke hain vazife 
Tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhara

********

अगर ये कह दो बग़ैर मेरे नहीं गुज़ारा तो मैं तुम्हारा
या उस पे मब्नी कोई तअस्सुर कोई इशारा तो मैं तुम्हारा

ग़ुरूर-परवर अना का मालिक कुछ इस तरह के हैं नाम मेरे
मगर क़सम से जो तुम ने इक नाम भी पुकारा तो मैं तुम्हारा

तुम अपनी शर्तों पे खेल खेलो मैं जैसे चाहे लगाऊँ बाज़ी
अगर मैं जीता तो तुम हो मेरे अगर मैं हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा आशिक़ तुम्हारा मुख़्लिस तुम्हारा साथी तुम्हारा अपना
रहा न इन में से कोई दुनिया में जब तुम्हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा होने के फ़ैसले को मैं अपनी क़िस्मत पे छोड़ता हूँ
अगर मुक़द्दर का कोई टूटा कभी सितारा तो मैं तुम्हारा

ये किस पे ता'वीज़ कर रहे हो ये किस को पाने के हैं वज़ीफ़े
तमाम छोड़ो बस एक कर लो जो इस्तिख़ारा तो मैं तुम्हारा

written by Amir Ameer

Kamar Bandhe Huwe Chalne Ko Yahan Sab Yaar Baithe Haiñ ( Insha Allah Insha )


Kamar bandhe hue chalne ko yaan sab yaar baithe hain
Bahut aage gae baaqi jo hain tayyar baithe hain

Na chhed ai nikhat-e-bad-e-bahari raah lag apni
Tujhe atkheliyan sujhi hain ham be-zar baithe hain

Khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahin saaqi
Gharaz kuchh aur dhun men is ghadi mai-khvar baithe hain

Basan-e-naqsh-e-pa-e-rah-ravan ku-e-tamanna men
Nahin uthne ki taqat kya karen lachar baithe hain

Ye apni chaal hai uftadgi se in dinon pahron
Nazar aaya jahan par saya-e-divar baithe hain

Kahen hain sabr kis ko aah nang o naam hai kya shai
Gharaz ro piit kar un sab ko ham yak baar baithe hain

Kahin bose ki mat jurat dila kar baithiyo un se
Abhi is had ko vo kaifi nahin hushyar baithe hain

Najibon ka ajab kuchh haal hai is daur men yaaro
Jise puchho yahi kahte hain ham bekar baithe hain

Nai ye vaza sharmane ki sikhi aaj hai tum ne
Hamare paas sahab varna yuun sau baar baithe hain

Kahan gardish falak ki chain deti hai suna ‘insha’
Ghanimat hai ki ham surat yahan do-char baithe hain


**********


कमर बांधे हुए चलने को यां सब यार बैठे हैं
बहुत आगे गए, बाकी जो हैं, तैयार बैठे हैं

न छेड़ ऐ निकहत-ए-बाद-ए-बहारी! राह लग अपनी
तुझे अठखेलियाँ सूझी हैं, हम बेज़ार बैठे हैं

ख्याल उनका परे है अर्श-ए-आज़म से कहीं साकी
ग़रज़ कुछ और धुन में इस घड़ी मैख्वार बैठे हैं

बसाने नक्श-ए-पा-ए-राहरवां कू-ए-तम्मना में
नहीं उठने की ताकत क्या करें लाचार बैठे हैं 

कहे है सब्र किस को? आह! नंग-ओ-नाम क्या शै है
यहाँ रो पीट कर इन सब को हम यक बार बैठे हैं

कहीं बोसे की मत जुर्रत दिलां कर बैठियो उनसे
अभी इस हद्द को वो काफी नहीं, होशियार बैठे हैं

नजीबों का अजब कुछ हाल है इस दौर में, यारों!!
जिसे पूछो, यही कहते हैं, हम बेकार बैठे हैं

नई यह वज़ा शर्माने की सीखी आज है तुमने
हमारे पास साहब, वर्ना यूँ सौ बार बैठे हैं 

ये अपनी चाल है उफ्तादगी से अब की पहरों तक
नज़र आया जहाँ पर साया-ए-दीवार बैठे हैं

कहां गर्दिश फ़लक की चैन देती है किसे 'इंशा'
गनीमत है की हम-सूरत यहाँ दो चार बैठे हैं

Meaning:-
(निकहत : fragrance; बाद-ए-बहारी : spring breeze; अठखेलियाँ : playfulness; बेज़ार : despair)

(‘अर्श-ए-आज़म: God’s seat in heaven; साकी: cup-bearer; मैख्वार: drunkards)

[नक्श-ए-पा-ए-राहरवां = footprint of the traveller,कू-ए-तम्मना = lane of love ]

 (सब्र : patience; नंग-ओ-नाम : disgrace and honour; शै : something; यकबार : finally)

(बोसे : kiss; जुर्रत : courage; बैठियो : to sit; हद्द : limit; होशियार : cautious)

(नजीबों : nobles; दौर : era; बेकार : useless)

written by Insha Allah Insha

Thursday, June 30, 2022

10 Most Complicated Sher Of Mirza Ghalib


1.
Dard minnat kash-e-dava na hua
Mae na achha hua bura na hua

2.
Bana kar faqiroñ ka ham bhes 'Ghalib'
Tamasha-e-ahl-e-karam dekhte haiñ

3.
Tere vaade pe jeeye ham to ye jaan jhuth jaana
Ki khushi se mar na jaate agar aitbaar hota

4.
Gham-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
Shama har rang mei jalti hai sahar hote tak

5.
Kya vo namrud ki Khudai thi
Bandagi mei mera bhala na hua

6.
Zindagi apni jab is shakl se guzri 'Ghalib'
Ham bhi kya yaad karenge ki Khuda rakhte the

7.
'Ghalib' hameñ na chhed ki phir josh-e-ashq se
Baithe haiñ ham tahayya-e-tufaañ kiye huwe
8.
Partav-e-lhur se hai shabnam ko fana ki taalim
Mai bhi huñ ek inaayat ki nazar hote tak

9.
Bahut dinoñ mei taghaful ne tere paisa ki
Vo ek nigeh ki ba-zahir nigah se kam hai

10.
Na karda gunahoñ ki bhi hasrat ki mile daad
Ya rab agar in karda gunahoñ ki sazaa hai

11.
Nazar lage na kahiñ us ke dasht-o-baazu ko
Ye log kyuñ mere zakhm-e-jigar ko dekhte haiñ

12.
Hai khayal-e-husn mei husn-e-amal ka sa khayal
Khuld ka ek dar hai meri gor ke andar khula

13.
Ta'at mei taa rahe na mai-o-angbeeñ ki laag
Dozakh mei daal do koi le kar bahisht ko

14.
Va-hasrata ke yaar ne khiñcha sitam se haath
Ham ko harees-e-lazzat-e-azaar dekh kar

15
Ba-qadr-e-shouq nahi zarf-e-tangna-e-ghazal
Kuchh aur chahiye vusat mere bayaañ ke liye

________________________________

Mirza ghalib poetry
Mirza ghalib shayari
Best mirza ghalib sher
Best sher
Shayari blog
Urdu poetry
Shayari
Saada kaagaz
Shayari images
Best sher
Best shayari
Best urdu poem
Mirza ghalib ke sher
Best Sher of Mirza Ghalib

Chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya ( Parveen Shakir )


Chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
Ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diya.

Ai meri gul-zamin tujhe chah thi ek kitab ki
Ahl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya.

Milte hue dilon ke bich aur tha faisla koi
Us ne magar bichhaDte waqt aur sawal kar diya.

Ab ke hawa ke sath hai daman-e-yar muntazir
Banu-e-shab ke hath mein rakhna sambhaal kar diya.

Mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
Hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya.

Mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to
Shahr ke shahr ko mera waqif-e-haal kar diya.

Chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake
Waqt ne kis shabih ko KHwab o KHayal kar diya.

Muddaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya.

***********

चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया

ऐ मिरी गुल-ज़मीं तुझे चाह थी इक किताब की
अहल-ए-किताब ने मगर क्या तिरा हाल कर दिया

मिलते हुए दिलों के बीच और था फ़ैसला कोई
उस ने मगर बिछड़ते वक़्त और सवाल कर दिया

अब के हवा के साथ है दामन-ए-यार मुंतज़िर
बानू-ए-शब के हाथ में रखना सँभाल कर दिया

मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया

मेरे लबों पे मोहर थी पर मेरे शीशा-रू ने तो
शहर के शहर को मिरा वाक़िफ़-ए-हाल कर दिया

चेहरा ओ नाम एक साथ आज न याद आ सके
वक़्त ने किस शबीह को ख़्वाब ओ ख़याल कर दिया

मुद्दतों बा'द उस ने आज मुझ से कोई गिला किया
मंसब-ए-दिलबरी पे क्या मुझ को बहाल कर दिया

written by Parveen Shakir

Bata Kya Kiya Toone Mere Liye ( Abrar Kashif )


Bata Kya Kiya Toone Mere Liye

( Fabiaiyye Aala e Rabbikuma Tuqazzibaan )
Meaning:- Which, then, of your Lord’s blessings do you both deny?

Mere Rab Ki Mujh Per Inayat Hui
Kahooñ Bhi To Kese Ibadat Hui

Haqeqat Hoi Jese Mujh Per Ayaañ
Qalam Ban Gaya Hai Khuda Ki Zubañ

Mukhatib Hai Bande Se Parwardigar
Tu Husn e Chaman Tu He Rang e Bahar

Tu Miraj e Fun Tu He Fun Ka Singhar
Musavvir Hoon Mein Tu Mera Shahkar

Ye Subhey Ye Shamey Ye Din Or Raat
Ye Rangeen Dilkash Haseeñ Kainat

Ke Hurooñ Malaik O Jinnat Mein
Kiya Hai Tujhy Ashraful makhluqat 

Meri Azmatoon Ka Hawala Hai Tu
Tu Hi Roshni Hai Ujala Hai Tu

Farishtoon Se Sajda Bhi Karwa Diya
Ke Tere Liye Mein Ne Kiya Na Kia

Ye Dunai Jahaan Bazm Arayiaañ
Ye Mehfil Ye Mele Ye Tanhayiaañ

Falak Ka Tujhy Shamyana Dia
Zameen Per Tujhy Aabo - Daana Dia

Mile Aabsharoo Se Bhi Hosleñ
Pahadoo Mein Tujh Ko Diye Rastay

Ye Pani Hawa Or Shams O Qamar
Ye Moj e Rawa Ye Kinara Bhañwar 

Ye Shakhon Pey Gunchay Chataktay Howey
Falak Pey Sitarey Chamaktay Howay

Ye Sabzay Ye Pholoon Bhari Kiyariyaañ
Ye Panchi Ye Udti Hui Titliyaañ

Ye Shola Ye Shabnam Ye Mitti Ye Sang
Ye Jharnoñ Kay Bajtay Hue Jal Tarang

Ye Jhiloñ Mein Haste Hue Se Kañwal
Ye Dharti Pey Mosam Ki Likhi Ghazal

Ye Sardi Ye Garmi Ye Barish Ye Dhoop
Ye Chehra Ye Qad Or Ye Rang o Roop

Darindoon Charindoon Pe Qabooñ Diya
Tujhy Bhai De Kar Ke Bazooñ Diya 

Behan Di Tujhy Or Shareek e Saffar
Ye Rishtay Ye Natay Ye Gharana Ye Ghar

Kay Aulaad Bhi Di ...Diye Waledain
Alif Laam Meem Qaaf Or Aeen Gain

Ye Aqal o Zahanat Shaoor o Nazar
Ye Basti Ye Sehra Ye Khushki Ye Tar

Aur Us Per Kitabain Hidayat Bhi Di
Nabi Bhi Utare Shariyat Bhi Di

Garz Ke Sabhi Kuch Hai Tere Liye
Bata Kya Kiya Toone Mere Liye

*************

बता क्या किया तूने मेरे लिए

( फबीआइए आला ए रब्बीकुमा तुकज़ ज़िबान)
Meaning:- तुम अपने रब की कौन कौन सी नेमतों को झुटलाओगे )

मेरे रब की मुझ पर इनायत हुई
कहूं भी तो कैसे इबादत हुई

हकीकत हुई जैसे मुझ पर अयान
क़लम बन गया है ख़ुदा की जुबान

मुख्तिब है बंदे से परवरदिगार
तू हुस्न ए चमन तू है रंग ए बहार

तू मेराज ए फन तू है फन का सिंगार
मुसववीर हूं मैं तू है मेरा शाहकार

ये सुभे ये शामें ये दिन और रात
ये रंगीन दिलकश हसीन कायनात 

के हूरों मलाएक ओ जिन्नात में
किया है तुझे अशरफुल मखलूकात

मेरी अजमतों का हवाला है tu
तू ही रोशनी है उजाला है तू

फरिश्तों से सजदा भी करवा दिया
के तेरे लिए में ने क्या न किया

ये दुन्यावी जहां बज़्म अरायियां
ये महफिल ये मेले ये तन्हाइयां

फलक का तुझे शामियाना दिया
जमीं पर तुझे आबो दाना दिया

मिले आबशारों से भी हौंसले
पहाड़ों में तुझ को दिए रास्ते

ये पानी हवा और शम्स ओ कमर
ये मोज ए रवा ये किनारा भंवर

ये शाखों पे गुंचे चटकते हुवे
फलक पे सितारे चमकते हुवे

ये सब्जे ये फूलों भरी क्यारियां
ये पंछी ये उड़ती हुई तितलियां

ये शोला ये शबनम ये मिट्टी ये संग
ये झरनों के बजते हुवे जल तरंग

ये झीलों में हंसते हुवे से कंवल
ये धरती पे मौसम की लिक्खी ग़ज़ल

ये सर्दी ये गर्मी ये बारिश ये धूप
ये चेहरा ये कद और ये रंग ओ रूप

दरिंदों चरिंदों पे काबू दिया
तुझे भाई दे कर भी बाजू दिया

बहन दी तुझे और शरीक ए सफर
ये रिश्ते ये नाते ये घराना ये घर

के औलाद भी दी दिए वालेदाइन
अलिफ लाम मीम काफ और अयन घैन

ये अक्ल ओ जहानत शवूर ओ नजर
ये बस्ती ये सेहरा ये खुश्की ये तर 

और उस पर किताबें हिदायत भी दी
नबी भी उतारे शरीयत भी दी

गरज के सभी कुछ है तेरे लिए
बता क्या किया तूने मेरे लिए

written by Abrar Kashif

Wednesday, June 29, 2022

Saare jahan se achha Hindustan hamara ( Tarana-e-Hind ) Allama Iqbal


Tarana-e-Hind

Saare jahan se achha Hindustan hamara
Ham bulbule haiñ is ki ye gulsitan hamara

Ghurbat mei hoñ agar ham rahta hai dil watan mei
Samjho wahi hame bhi dil ho jahañ hamara

Parvat wo sab se uncha ham-saya asmaañ ka
Vo santri hamara vo pasbaan hamara

Godi mei khelti haiñ is ki hazaroñ nadiyañ
Gulshan hai jin ke dam se rashq-e-jinañ hamara

Ye aab-rud-e-ganga vo din hai yaad tujh ko
Utra tere kinaare jab kaarvañ hamara

Mazhab nahi sikhata aapas mei bair rakhna
Hindi haiñ ham watan hai Hindustan hamara

Yunaan-o-misr-o-rooma sab mit gaye jahañ se
Ab tak magar hai baaki naam-o-nishañ hamara

Kuchh baat hai ki hasti mit'ti nahi hamari
Sadiyoñ raha hai dushman dour-e-jamaañ hamara

'Iqbal' koi marham apna nahiñ jahañ mei
Maalum kya kisi ko dard-e-nihaañ hamara

*************

सारे जहाँ से अच्छा हिन्दोस्ताँ हमारा
हम बुलबुलें हैं इस की ये गुलसिताँ हमारा

ग़ुर्बत में हों अगर हम रहता है दिल वतन में
समझो वहीं हमें भी दिल हो जहाँ हमारा

पर्बत वो सब से ऊँचा हम-साया आसमाँ का
वो संतरी हमारा वो पासबाँ हमारा

गोदी में खेलती हैं इस की हज़ारों नदियाँ
गुलशन है जिन के दम से रश्क-ए-जिनाँ हमारा

ऐ आब-रूद-ए-गंगा वो दिन है याद तुझ को
उतरा तिरे किनारे जब कारवाँ हमारा

मज़हब नहीं सिखाता आपस में बैर रखना
हिन्दी हैं हम वतन है हिन्दोस्ताँ हमारा

यूनान ओ मिस्र ओ रूमा सब मिट गए जहाँ से
अब तक मगर है बाक़ी नाम-ओ-निशाँ हमारा

कुछ बात है कि हस्ती मिटती नहीं हमारी
सदियों रहा है दुश्मन दौर-ए-ज़माँ हमारा

'इक़बाल' कोई महरम अपना नहीं जहाँ में
मालूम क्या किसी को दर्द-ए-निहाँ हमारा

written by Allama Iqbal ( Muhammad Iqbal )

Facts:- (From Wikipedia)
( Saare Jahan Se Achcha has remained popular in India for nearly a century. Mahatma Gandhi is said to have sung it over a hundred times when he was imprisoned at Yerawada Jail in Pune in the 1930s )

( The song is popular in India in schools, and as a marching song for the Indian armed forces, played during public events and parades.[2] It is played by the Armed forces Massed Bands each year for the Indian Independence Day, Republic Day and at the culmination of Beating the Retreat. )

Laga Ke Aag Shahar Ko ( Unknown )




Laga ke aag shehar ko Badshah ne ye kaha,
Utha hai aaj dil mei tamashe ka shauq bohot.

Jhuka k sir ko sabhi Shah-Parast Bol uthay,
Huzoor ka shauq salamat rahay shehar aur bohot.

*************

 लगा के आग शहर को बादशाह ने ये कहा
उठा है आज दिल में तमाशे का शौक बहुत

झुका कर सर सभी शाह परस्त बोल उठ्ठे
हुज़ूर का शौक सलामत रहे शहर और बहुत

Unknown

Comment / Mail  For Credit.





Recitation Video:-  Click Here





Jalte Ghar Ko Dekhne Vaaloñ ( Nawaz Deobandi )


Jalte ghar ko dekhne vaaloñ phoos ka chaplar aap ka hai
Aap ke piche tez hawa aage mukaddar aap ka hai

Us ke qatl pe mae bhi chup tha meri baari ab aai
Mere qatl par aap bhi chup haiñ agla number aap ka hai

*********

जलते घर को देखने वालों फूस का छप्पर आपका है
आपके पीछे तेज़ हवा है आगे मुकद्दर आपका है

उस के क़त्ल पे मैं भी चुप था मेरा नम्बर अब आया
मेरे क़त्ल पे आप भी चुप है अगला नम्बर आपका है

written by Nawaz Deobandi

Recitation Video:- Click Here





Paagal kaise ho jaate haiñ ( Ali Zaryoun )


Paagal kaise ho jaate haiñ
Dekho aise ho jaate haiñ

Khwaboñ ka dhanda karti ho
Kitne paise ho jaate haiñ

Duniya sa hona mushkil hai
Tere jaise ho jaate haiñ

Mere kaam Khuda karta hai
Tere waise ho jaate haiñ

*******

पागल कैसे हो जाते हैं
देखो ऐसे हो जाते हैं

ख़्वाबों का धंधा करती हो
कितने पैसे हो जाते हैं

दुनिया सा होना मुश्किल है
तेरे जैसे हो जाते हैं

मेरे काम ख़ुदा करता है
तेरे वैसे हो जाते हैं

written by Ali Zaryoun



Khizañ Ki Rut Mei Gulab Lehja Bana Ke Rakhna Kamaal Ye Hai ( Mubarak Siddiqui )


Khizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna 
kamal ye hai
Hawa ki zad pe diya jalana jala ke rakhna 
kamal ye hai

Zara si laghzish pe tod dete hain sab talluq zamane wale
So aise waison se bhi talluq bana ke rakhna 
kamal ye hai

Kisi ko dena ye mashwara ki wo dukh bichhadne ka bhul jae
Aur aise lamhe mein apne aansu chhupa ke rakhna 
kamal ye hai

Khayal apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai
Jo yar chahe wo haal apna bana ke rakhna 
kamal ye hai

Kisi ki rah se khuda ki khatir utha ke kante hata ke patthar
Phir us ke aage nigah apni jhuka ke rakhna 
kamal ye hai

Vo jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi ladkhadae shikast khae
Labon pe apne wo muskurahat saja ke rakhna 
kamal ye hai

*************

ख़िज़ाँ की रुत में गुलाब लहजा बना के रखना कमाल ये है
हवा की ज़द पे दिया जलाना जला के रखना कमाल ये है

ज़रा सी लग़्ज़िश पे तोड़ देते हैं सब तअ'ल्लुक़ ज़माने वाले
सो ऐसे वैसों से भी तअ'ल्लुक़ बना के रखना कमाल ये है

किसी को देना ये मशवरा कि वो दुख बिछड़ने का भूल जाए
और ऐसे लम्हे में अपने आँसू छुपा के रखना कमाल ये है

ख़याल अपना मिज़ाज अपना पसंद अपनी कमाल क्या है
जो यार चाहे वो हाल अपना बना के रखना कमाल ये है

वो जिस को देखे तो दुख का लश्कर भी लड़खड़ाए शिकस्त खाए
लबों पे अपने वो मुस्कुराहट सजा के रखना कमाल ये है

किसी की रह से ख़ुदा की ख़ातिर उठा के काँटे हटा के पत्थर
फिर उस के आगे निगाह अपनी झुका के रखना कमाल ये है

written by Mubarak Siddiqui




Recitation Video:-  Click Here




Yaar bhi raah ki deewar samajhte hain mujhe ( Shahid Zaki )


Yaar bhi raah ki deewar samajhte hain mujhe
Mein samajhta tha mere yaar samajhte hn mujhe

Jad ukhadne se jhukao hai meri shakhoñ mei
Dur se log samar-baar samajhte haiñ mujhe

Kya khabar kal yahi taabut mera ban jaae
Aap jis takht ka haqdaar samajhte haiñ mujhe

Naik logon me mujhe naik gina jata hey
Aur gunahgar gunahgar samajhte hn mujhe

Mein to yun chup hoon k ander se bohot khali hoon
Aur sab log pur israar samajhte hain mujhe

Main badaltey hue halat me dhal jata hoon
Dekhne wale adakaar samahte hain mujhe

Wo jo us paar hain un k lye is paar hoon mein
wo jo is paar hain us paar samajhte hain mujhe

Roshni bant'ta huñ sarhadoñ ke paar bhi mae
Ham watan isi liye ghaddar samajhte haiñ mujhe

Jurm ye hai ki andhoñ mei huñ aankhoñ wala
Aur saza ye hai ki sardaar samajhte haiñ mujhe

Laash ki tarah sar-e-aab huñ mae aur 'Shahid'
Doobne waale madadgaaar samajhte haiñ mujhe


**********

यार भी राह की दीवार समझते हैं मुझे
मैं समझता था मिरे यार समझते हैं मुझे

जड़ उखड़ने से झुकाव है मिरी शाख़ों में
दूर से लोग समर-बार समझते हैं मुझे

क्या ख़बर कल यही ताबूत मिरा बन जाए
आप जिस तख़्त का हक़दार समझते हैं मुझे

नेक लोगों में मुझे नेक गिना जाता है
और गुनहगार गुनहगार समझते हैं मुझे

मैं तो ख़ुद बिकने को बाज़ार में आया हुआ हूँ
और दुकाँ-दार ख़रीदार समझते हैं मुझे

मैं बदलते हुए हालात में ढल जाता हूँ
देखने वाले अदाकार समझते हैं मुझे

वो जो उस पार हैं इस पार मुझे जानते हैं
ये जो इस पार हैं उस पार समझते हैं मुझे

मैं तो यूँ चुप हूँ कि अंदर से बहुत ख़ाली हूँ
और ये लोग पुर-असरार समझते हैं मुझे

रौशनी बाँटता हूँ सरहदों के पार भी मैं
हम-वतन इस लिए ग़द्दार समझते हैं मुझे

जुर्म ये है कि इन अंधों में हूँ आँखों वाला
और सज़ा ये है कि सरदार समझते हैं मुझे

लाश की तरह सर-ए-आब हूँ मैं और 'शाहिद'
डूबने वाले मदद-गार समझते हैं मुझे

written by Shahid Zaki





Recitation Video:- Click Here


page top middle