Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.
Showing posts with label *Videos. Show all posts
Showing posts with label *Videos. Show all posts

Sunday, July 17, 2022

Is Dil Ka Jo Hua Hone Diya


Is dil ka jo hua hone diya
Be-khudi ramz-o-gilaa hone diya

Ruk gaye sab sitam tere diye
Phir mera jo hua hone diya

Aur Kya bach gaya jo mita nahiñ
Aag lagi aur dhuañ hone diya

Ghalat hua jo hua saath mere
Saath mere jo hua hone diya

Ik tamanna rah gayi hai seene mei
Dil mei hi jis ko fanaa hone diya 

Usne kaha ki usko bhi pyaar hai
Usne mera kyun bura hone diya

Ek safar ki baat thi khair wo bhi
Jo pasand tujh ko, tera hone diya

Ishq mei ham mit gaye jaan kar
Jo rasm hai unko adaa hone diya

********

इस दिल का जो हुआ होने दिया
बेखुदी रम्ज़ ओ गिला होने दिया

रुक गए सब सितम तेरे दिए
फिर मेरा जो हुआ होने दिया

और क्या बच गया जो मिटा नहीं
आग लगी और धुआं होने दिया

ग़लत हुआ जो हुआ साथ मेरे
साथ मेरे जो हुआ होने दिया

इक तमन्ना रह गई है सीने में
दिल में ही जिस को फना होने दिया

उसने कहा की उसको भी प्यार है
उसने मेरा क्यों बुरा होने दिया

एक सफर की बात थी ख़ैर वो भी
जो पसंद तुझ को, तेरा होने दिया

ईश्क में हम मिट गए जान कर
जो रस्म है उसको अदा होने दिया

written by Mustafiz Raza 




Saturday, July 2, 2022

Us bazm mei mujhe nahin banti haya kiye ( Mirza Ghalib )


Us bazm mei mujhe nahin banti haya kiye
Baitha raha agarche ishare huwa kiye

Dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya
Main aur jaun dar se tere bin sada kiye

Rakhta phirun hun khirqa o sajjada rahn-e-mai
Muddat hui hai davat ab-o-hava kiye

Be-sarfa hi guzarti hai ho garche umr-e-khizr
Hazrat bhi kal kahenge ki ham kya kiya kiye

Maqdur ho to khaak se puchhun ki ai laiim
Tu ne vo gunjha-e-giran-maya kya kiye

Kis roz tohmaten na tarasha kiye adu
Kis din hamare sar pe na aare chala kiye

Sohbat mei ghair ki na padi ho kahin ye khu
Dene laga hai bosa baghair iltija kiye

Zid ki hai aur baat magar khu buri nahin
Bhule se us ne saikdon vaade vafa kiye

'Ghalib' tumhin kaho ki milega javab kya
Maana ki tum kaha kiye aur vo suna kiye

*********

उस बज़्म में मुझे नहीं बनती हया किए
बैठा रहा अगरचे इशारे हुआ किए

दिल ही तो है सियासत-ए-दरबाँ से डर गया
मैं और जाऊँ दर से तिरे बिन सदा किए

रखता फिरूँ हूँ ख़िर्क़ा ओ सज्जादा रहन-ए-मय
मुद्दत हुई है दावत आब-ओ-हवा किए

बे-सर्फ़ा ही गुज़रती है हो गरचे उम्र-ए-ख़िज़्र
हज़रत भी कल कहेंगे कि हम क्या किया किए

मक़्दूर हो तो ख़ाक से पूछूँ कि ऐ लईम
तू ने वो गंज-हा-ए-गराँ-माया क्या किए

किस रोज़ तोहमतें न तराशा किए अदू
किस दिन हमारे सर पे न आरे चला किए

सोहबत में ग़ैर की न पड़ी हो कहीं ये ख़ू
देने लगा है बोसा बग़ैर इल्तिजा किए

ज़िद की है और बात मगर ख़ू बुरी नहीं
भूले से उस ने सैकड़ों वा'दे वफ़ा किए

'ग़ालिब' तुम्हीं कहो कि मिलेगा जवाब क्या
माना कि तुम कहा किए और वो सुना किए

written by Mirza Ghalib 






Wednesday, June 29, 2022

Laga Ke Aag Shahar Ko ( Unknown )




Laga ke aag shehar ko Badshah ne ye kaha,
Utha hai aaj dil mei tamashe ka shauq bohot.

Jhuka k sir ko sabhi Shah-Parast Bol uthay,
Huzoor ka shauq salamat rahay shehar aur bohot.

*************

 लगा के आग शहर को बादशाह ने ये कहा
उठा है आज दिल में तमाशे का शौक बहुत

झुका कर सर सभी शाह परस्त बोल उठ्ठे
हुज़ूर का शौक सलामत रहे शहर और बहुत

Unknown

Comment / Mail  For Credit.





Recitation Video:-  Click Here





Paagal kaise ho jaate haiñ ( Ali Zaryoun )


Paagal kaise ho jaate haiñ
Dekho aise ho jaate haiñ

Khwaboñ ka dhanda karti ho
Kitne paise ho jaate haiñ

Duniya sa hona mushkil hai
Tere jaise ho jaate haiñ

Mere kaam Khuda karta hai
Tere waise ho jaate haiñ

*******

पागल कैसे हो जाते हैं
देखो ऐसे हो जाते हैं

ख़्वाबों का धंधा करती हो
कितने पैसे हो जाते हैं

दुनिया सा होना मुश्किल है
तेरे जैसे हो जाते हैं

मेरे काम ख़ुदा करता है
तेरे वैसे हो जाते हैं

written by Ali Zaryoun



Khizañ Ki Rut Mei Gulab Lehja Bana Ke Rakhna Kamaal Ye Hai ( Mubarak Siddiqui )


Khizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna 
kamal ye hai
Hawa ki zad pe diya jalana jala ke rakhna 
kamal ye hai

Zara si laghzish pe tod dete hain sab talluq zamane wale
So aise waison se bhi talluq bana ke rakhna 
kamal ye hai

Kisi ko dena ye mashwara ki wo dukh bichhadne ka bhul jae
Aur aise lamhe mein apne aansu chhupa ke rakhna 
kamal ye hai

Khayal apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai
Jo yar chahe wo haal apna bana ke rakhna 
kamal ye hai

Kisi ki rah se khuda ki khatir utha ke kante hata ke patthar
Phir us ke aage nigah apni jhuka ke rakhna 
kamal ye hai

Vo jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi ladkhadae shikast khae
Labon pe apne wo muskurahat saja ke rakhna 
kamal ye hai

*************

ख़िज़ाँ की रुत में गुलाब लहजा बना के रखना कमाल ये है
हवा की ज़द पे दिया जलाना जला के रखना कमाल ये है

ज़रा सी लग़्ज़िश पे तोड़ देते हैं सब तअ'ल्लुक़ ज़माने वाले
सो ऐसे वैसों से भी तअ'ल्लुक़ बना के रखना कमाल ये है

किसी को देना ये मशवरा कि वो दुख बिछड़ने का भूल जाए
और ऐसे लम्हे में अपने आँसू छुपा के रखना कमाल ये है

ख़याल अपना मिज़ाज अपना पसंद अपनी कमाल क्या है
जो यार चाहे वो हाल अपना बना के रखना कमाल ये है

वो जिस को देखे तो दुख का लश्कर भी लड़खड़ाए शिकस्त खाए
लबों पे अपने वो मुस्कुराहट सजा के रखना कमाल ये है

किसी की रह से ख़ुदा की ख़ातिर उठा के काँटे हटा के पत्थर
फिर उस के आगे निगाह अपनी झुका के रखना कमाल ये है

written by Mubarak Siddiqui




Recitation Video:-  Click Here




Yaar bhi raah ki deewar samajhte hain mujhe ( Shahid Zaki )


Yaar bhi raah ki deewar samajhte hain mujhe
Mein samajhta tha mere yaar samajhte hn mujhe

Jad ukhadne se jhukao hai meri shakhoñ mei
Dur se log samar-baar samajhte haiñ mujhe

Kya khabar kal yahi taabut mera ban jaae
Aap jis takht ka haqdaar samajhte haiñ mujhe

Naik logon me mujhe naik gina jata hey
Aur gunahgar gunahgar samajhte hn mujhe

Mein to yun chup hoon k ander se bohot khali hoon
Aur sab log pur israar samajhte hain mujhe

Main badaltey hue halat me dhal jata hoon
Dekhne wale adakaar samahte hain mujhe

Wo jo us paar hain un k lye is paar hoon mein
wo jo is paar hain us paar samajhte hain mujhe

Roshni bant'ta huñ sarhadoñ ke paar bhi mae
Ham watan isi liye ghaddar samajhte haiñ mujhe

Jurm ye hai ki andhoñ mei huñ aankhoñ wala
Aur saza ye hai ki sardaar samajhte haiñ mujhe

Laash ki tarah sar-e-aab huñ mae aur 'Shahid'
Doobne waale madadgaaar samajhte haiñ mujhe


**********

यार भी राह की दीवार समझते हैं मुझे
मैं समझता था मिरे यार समझते हैं मुझे

जड़ उखड़ने से झुकाव है मिरी शाख़ों में
दूर से लोग समर-बार समझते हैं मुझे

क्या ख़बर कल यही ताबूत मिरा बन जाए
आप जिस तख़्त का हक़दार समझते हैं मुझे

नेक लोगों में मुझे नेक गिना जाता है
और गुनहगार गुनहगार समझते हैं मुझे

मैं तो ख़ुद बिकने को बाज़ार में आया हुआ हूँ
और दुकाँ-दार ख़रीदार समझते हैं मुझे

मैं बदलते हुए हालात में ढल जाता हूँ
देखने वाले अदाकार समझते हैं मुझे

वो जो उस पार हैं इस पार मुझे जानते हैं
ये जो इस पार हैं उस पार समझते हैं मुझे

मैं तो यूँ चुप हूँ कि अंदर से बहुत ख़ाली हूँ
और ये लोग पुर-असरार समझते हैं मुझे

रौशनी बाँटता हूँ सरहदों के पार भी मैं
हम-वतन इस लिए ग़द्दार समझते हैं मुझे

जुर्म ये है कि इन अंधों में हूँ आँखों वाला
और सज़ा ये है कि सरदार समझते हैं मुझे

लाश की तरह सर-ए-आब हूँ मैं और 'शाहिद'
डूबने वाले मदद-गार समझते हैं मुझे

written by Shahid Zaki





Recitation Video:- Click Here


Monday, June 27, 2022

Na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota ( Mirza Ghalib )


Na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota
Duboya mujh ko hone ne na hota maen to kya hota

Huwa jab gham se yun be-his to gham kya sar ke katne ka
Na hota gar juda tan se to zaanu par dhara hota

Hui muddat ki 'Ghalib' mar gaya par yaad aata hai
Vo har ik baat par kahna ki yun hota to kya hota

***********

न था कुछ तो ख़ुदा था कुछ न होता तो ख़ुदा होता
डुबोया मुझ को होने ने न होता मैं तो क्या होता

हुआ जब ग़म से यूँ बे-हिस तो ग़म क्या सर के कटने का
न होता गर जुदा तन से तो ज़ानू पर धरा होता

हुई मुद्दत कि 'ग़ालिब' मर गया पर याद आता है
वो हर इक बात पर कहना कि यूँ होता तो क्या होता

written by Mirza Ghalib 



Wednesday, June 22, 2022

Hazaroñ Khwahisheñ Aisi ( Mirza Ghalib )


Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle

Dare kyon mera qaatil? kya rahega us ki garden par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle

Darae kyon mera qaatil? kya rahega us ki garden par?
Voh khun, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle


Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahot be-aabru ho kar tere kuche se hum nikle


Bharam khul jaaye zalim! teri qaamat ki darazi ka
Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

Magar likhvaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

Hui is daur mein mansub mujh se bada ashaami
Phir aaya voh zamana, jo jahan mein jaam-e-jam nikle


Hui jin se tavaqqo khastagi ki daad paane ki
Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle

Mohabbat mein nahin hai farq jine aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle


Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo
Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle


Khuda ke waste parda na qaabe se utha zalim
Kahin aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle

Kahan mai-khane ka darwaza Ghalib aur kahan vaaiz
Par itna jaante haiñ kal voh jaata tha ke ham nikle

-*-*-*-*-*--*-*-*--*-*-*-*--*-*

हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी कि हर ख़्वाहिश पे दम निकले
बहुत निकले मिरे अरमान लेकिन फिर भी कम निकले

डरे क्यूँ मेरा क़ातिल क्या रहेगा उस की गर्दन पर
वो ख़ूँ जो चश्म-ए-तर से उम्र भर यूँ दम-ब-दम निकले

निकलना ख़ुल्द से आदम का सुनते आए हैं लेकिन
बहुत बे-आबरू हो कर तिरे कूचे से हम निकले

भरम खुल जाए ज़ालिम तेरे क़ामत की दराज़ी का
अगर इस तुर्रा-ए-पुर-पेच-ओ-ख़म का पेच-ओ-ख़म निकले

मगर लिखवाए कोई उस को ख़त तो हम से लिखवाए
हुई सुब्ह और घर से कान पर रख कर क़लम निकले

हुई इस दौर में मंसूब मुझ से बादा-आशामी
फिर आया वो ज़माना जो जहाँ में जाम-ए-जम निकले

हुई जिन से तवक़्क़ो' ख़स्तगी की दाद पाने की
वो हम से भी ज़ियादा ख़स्ता-ए-तेग़-ए-सितम निकले

मोहब्बत में नहीं है फ़र्क़ जीने और मरने का
उसी को देख कर जीते हैं जिस काफ़िर पे दम निकले

कहाँ मय-ख़ाने का दरवाज़ा 'ग़ालिब' और कहाँ वाइ'ज़
पर इतना जानते हैं कल वो जाता था कि हम निकले

written by Mirza Ghalib 



Thursday, June 16, 2022

Khizañ Ki Rut Mei Gulab Lehja ( Mubarak Siddiqui )


Khizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zad pe diya jalana jala ke rakhna kamal ye hai

Zara si laghzish pe tod dete hain sab talluq zamane wale
So aise waison se bhi talluq bana ke rakhna kamal ye hai

Kisi ko dena ye mashwara ki wo dukh bichhadne ka bhul jae
Aur aise lamhe mein apne aansu chhupa ke rakhna kamal ye hai

Khayal apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai
Jo yar chahe wo haal apna bana ke rakhna kamal ye hai

Kisi ki rah se khuda ki khatir utha ke kante hata ke patthar
Phir us ke aage nigah apni jhuka ke rakhna kamal ye hai

Wo jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi ladkhadae shikast khae
Labon pe apne wo muskurahat saja ke rakhna kamal ye hai 

-*-*-*-*-*-*-**-*--*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**-*-*-*-*-*-*

ख़िज़ाँ की रुत में गुलाब लहजा बना के रखना कमाल ये है
हवा की ज़द पे दिया जलाना जला के रखना कमाल ये है

ज़रा सी लग़्ज़िश पे तोड़ देते हैं सब तअ'ल्लुक़ ज़माने वाले
सो ऐसे वैसों से भी तअ'ल्लुक़ बना के रखना कमाल ये है

किसी को देना ये मशवरा कि वो दुख बिछड़ने का भूल जाए
और ऐसे लम्हे में अपने आँसू छुपा के रखना कमाल ये है

ख़याल अपना मिज़ाज अपना पसंद अपनी कमाल क्या है
जो यार चाहे वो हाल अपना बना के रखना कमाल ये है

किसी की रह से ख़ुदा की ख़ातिर उठा के काँटे हटा के पत्थर
फिर उस के आगे निगाह अपनी झुका के रखना कमाल ये है

वो जिस को देखे तो दुख का लश्कर भी लड़खड़ाए शिकस्त खाए
लबों पे अपने वो मुस्कुराहट सजा के रखना कमाल ये है -

written by Mubarak Siddiqui








Nahi Ishq Mei Iska To Ranj Hame ( Bahadur Shah Zafar)


Nahin ishq men is ka to ranj hamen ki qarar o shakeb zara na raha
Gham-e-ishq to apna rafiq raha koi aur bala se raha na raha

Diya apni khudi ko jo ham ne utha vo jo parda sa biich men tha na raha
Rahe parde men ab na vo parda-nashin koi dusra us ke siva na raha

Na thi haal ki jab hamen apne khabar rahe dekhte auron ke aib o hunar
Padi apni buraiyon par jo nazar to nigah men koi bura na raha

Tere rukh ke khayal men kaun se din uthe mujh pe na fitna-e-roz-e-jaza
Tiri zulf ke dhyan men kaun si shab mire sar pe hujum-e-bala na raha

Hamen saghar-e-bada ke dene men ab kare der jo saaqi to haae ghazab
Ki ye ahd-e-nashat ye daur-e-tarab na rahega jahan men sada na raha

Kai roz men aaj vo mehr-liqa hua mere jo samne jalva-numa
Mujhe sabr o qarar zara na raha use pas-e-hijab-o-haya na raha


Tere khanjar o tegh ki ab-e-ravan hui jab ki sabil-e-sitam-zadgan
Gae kitne hi qafile khushk-zaban koi tishna-e-ab-e-baqa na raha

Mujhe saaf batae nigar agar to ye puchhun main ro ro ke khun-e-jigar
Male paanv se kis ke hain dida-e-tar kaf-e-pa pe jo rang-e-hina na raha

Use chaha tha main ne ki rok rakhun miri jaan bhi jaae to jaane na duun
Kiye laakh fareb karod fusun na raha na raha na raha na raha

Lage yuun to hazaron hi tir-e-sitam ki tadapte rahe pade khaak pe ham
Vale naaz o karishma ki tegh-e-do-dam lagi aisi ki tasma laga na raha

‘Zafar’ aadmi us ko na janiyega vo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka
Jise aish men yad-e-khuda na rahi jise taish men khauf-e-khuda na raha


-*-*-*-*-*-*-*--*-*-*--**-*-*-*-*-*-*-*-*-*--*-*-

नहीं इश्क़ में इस का तो रंज हमें कि क़रार ओ शकेब ज़रा न रहा
ग़म-ए-इश्क़ तो अपना रफ़ीक़ रहा कोई और बला से रहा न रहा

दिया अपनी ख़ुदी को जो हम ने उठा वो जो पर्दा सा बीच में था न रहा
रहे पर्दे में अब न वो पर्दा-नशीं कोई दूसरा उस के सिवा न रहा

न थी हाल की जब हमें ख़बर रहे देखते औरों के ऐब ओ हुनर
पड़ी अपनी बुराइयों पर जो नज़र तो निगाह में कोई बुरा न रहा

तिरे रुख़ के ख़याल में कौन से दिन उठे मुझ पे न फ़ित्ना-ए-रोज़-ए-जज़ा
तिरी ज़ुल्फ़ के ध्यान में कौन सी शब मिरे सर पे हुजूम-ए-बला न रहा

हमें साग़र-ए-बादा के देने में अब करे देर जो साक़ी तो हाए ग़ज़ब
कि ये अहद-ए-नशात ये दौर-ए-तरब न रहेगा जहाँ में सदा न रहा

कई रोज़ में आज वो मेहर-लिक़ा हुआ मेरे जो सामने जल्वा-नुमा
मुझे सब्र ओ क़रार ज़रा न रहा उसे पास-ए-हिजाब-ओ-हया न रहा

तिरे ख़ंजर ओ तेग़ की आब-ए-रवाँ हुई जब कि सबील-ए-सितम-ज़दगाँ
गए कितने ही क़ाफ़िले ख़ुश्क-ज़बाँ कोई तिश्ना-ए-आब-ए-बक़ा न रहा

मुझे साफ़ बताए निगार अगर तो ये पूछूँ मैं रो रो के ख़ून-ए-जिगर
मले पाँव से किस के हैं दीदा-ए-तर कफ़-ए-पा पे जो रंग-ए-हिना न रहा

उसे चाहा था मैं ने कि रोक रखूँ मिरी जान भी जाए तो जाने न दूँ
किए लाख फ़रेब करोड़ फ़ुसूँ न रहा न रहा न रहा न रहा

लगे यूँ तो हज़ारों ही तीर-ए-सितम कि तड़पते रहे पड़े ख़ाक पे हम
वले नाज़ ओ करिश्मा की तेग़-ए-दो-दम लगी ऐसी कि तस्मा लगा न रहा

'ज़फ़र' आदमी उस को न जानिएगा वो हो कैसा ही साहब-ए-फ़हम-ओ-ज़का
जिसे ऐश में याद-ए-ख़ुदा न रही जिसे तैश में ख़ौफ़-ए-ख़ुदा न रहा

written by Bahadur Shah Zafar 







Wednesday, June 15, 2022

Hazaroñ Khwahisheñ Aisi ( Mirza Ghalib )


Hazaaron khwaishein aisi ki har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle

Dare kyuñ mera qaatil, kya rahega uski gardan par
Voh khoon jo chashm-e-tar se umr bhar yuñ dam-ba-dam nikle

Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahut be-aabru ho kar tere kooche se hum nikle

Bharam khul jaaye zaalim teri qaamat ki daraazi ka
Agar is turahe-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

Magar likhvaae koi usko khat to hum se likhvaae
Hui subh aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

Hui is daur mein mansoob mujh se baada-aashaami
Phir aaya voh zamana jo jahaan mein jaam-e-jum nikle

Hui jin se tavaqqo khastagi ki daad paane ki
Voh hamse bhi zyada khasta-e-tegh-e-sitam nikle

Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dam nikle

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
Jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

Khuda ke vaaste parda na kaabe se utha zaalim
Kahiñ aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle

Kahañ maikhane ka darwaza 'Ghalib' aur kahañ vaaiz
Par itna jaante hain kal voh jaata tha ke ham nikle

-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

हजारों ख्वाहिशें ऐसी कि हर ख्वाहिश पे दम निकले
बहुत निकले मेरे अरमाँ, लेकिन फिर भी कम निकले

डरे क्यों मेरा कातिल क्या रहेगा उसकी गर्दन पर
वो खून जो चश्म-ऐ-तर से उम्र भर यूं दम-ब-दम निकले

निकलना खुल्द से आदम का सुनते आये हैं लेकिन
बहुत बे-आबरू होकर तेरे कूचे से हम निकले

भ्रम खुल जाये जालीम तेरे कामत कि दराजी का
अगर इस तुर्रा-ए-पुरपेच-ओ-खम का पेच-ओ-खम निकले

मगर लिखवाये कोई उसको खत तो हमसे लिखवाये
हुई सुबह और घर से कान पर रखकर कलम निकले

हुई इस दौर में मनसूब मुझसे बादा-आशामी
फिर आया वो जमाना जो जहाँ से जाम-ए-जम निकले

हुई जिनसे तव्वको खस्तगी की दाद पाने की
वो हमसे भी ज्यादा खस्ता-ए-तेग-ए-सितम निकले

मुहब्बत में नहीं है फ़र्क जीने और मरने का
उसी को देख कर जीते हैं जिस काफिर पे दम निकले

जरा कर जोर सिने पर कि तीर-ऐ-पुरसितम निकले
जो वो निकले तो दिल निकले, जो दिल निकले तो दम निकले

खुदा के बासते पर्दा ना काबे से उठा जालिम
कहीं ऐसा न हो याँ भी वही काफिर सनम निकले

कहाँ मयखाने का दरवाजा 'गालिब' और कहाँ वाइज़
पर इतना जानते हैं, कल वो जाता था के हम निकले

written by Mirza Ghalib 



Ye Na Thi Hamari Qismat (Mirza Ghalib )


Ye naa thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hotaa
Agar aur jeete rahte, yahi itazar hota

Tere vaade par jiye ham, to ye jaan jhuth jana
Ke khushi se mar na jaate, agar eitbaar hota

Teri naazuki se jaanaa ke badhaa thaa ahad buda
Kabhi tu na tod sakataa, agar usatavaar hota

Koi mere dil se puchhe, tere tir-e-nim kash ko
Ye khalish kahaan se hoti, jo jigar ke paar hota

Ye kahan ki dosti hai ke bane hai dost naseh
Koi chara saaz hota, koi gam gusaar hota

Rag-e-sag se tapakta, vo lahu ke phir na thamta
Jise gam samajh rahe ho, ye agar sharar hota

Gham agar-che jaan gusil hai, pe kahan bache ki dil hai
Gham-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgaar hota

Kahun kis se mai ki kya hai, shab-e-gam buri bala hai
Mujhe kiyaa bura tha marna agar ek baar hota

Hue mar ke ham jo rusvaa, hue kyun na gharq-e-darya
Na kabhi janaza uthta, na kahi mazaar hota

Oose kaun dekh saktaa ke, yagana he vo yakta
Jo doi ki bu bhi hoti, to kahi do chaar hota

Ye masa-el-e-tasavvuf, ye teraa bean, gaalib
Tujhe ham vaali samajhte, jo na baadkhaar hota

-*-*-*-*-*-*-*-*--**-*-*-*--*-*-*-*--*-*-*-*-

ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता
अगर और जीते रहते यही इंतिज़ार होता

तिरे वा'दे पर जिए हम तो ये जान झूट जाना
कि ख़ुशी से मर न जाते अगर ए'तिबार होता

तिरी नाज़ुकी से जाना कि बँधा था अहद बोदा
कभी तू न तोड़ सकता अगर उस्तुवार होता

कोई मेरे दिल से पूछे तिरे तीर-ए-नीम-कश को
ये ख़लिश कहाँ से होती जो जिगर के पार होता

ये कहाँ की दोस्ती है कि बने हैं दोस्त नासेह
कोई चारासाज़ होता कोई ग़म-गुसार होता

रग-ए-संग से टपकता वो लहू कि फिर न थमता
जिसे ग़म समझ रहे हो ये अगर शरार होता

ग़म अगरचे जाँ-गुसिल है प कहाँ बचें कि दिल है
ग़म-ए-इश्क़ गर न होता ग़म-ए-रोज़गार होता

कहूँ किस से मैं कि क्या है शब-ए-ग़म बुरी बला है
मुझे क्या बुरा था मरना अगर एक बार होता

हुए मर के हम जो रुस्वा हुए क्यूँ न ग़र्क़-ए-दरिया
न कभी जनाज़ा उठता न कहीं मज़ार होता

उसे कौन देख सकता कि यगाना है वो यकता
जो दुई की बू भी होती तो कहीं दो-चार होता

ये मसाईल-ए-तसव्वुफ़ ये तिरा बयान 'ग़ालिब'
तुझे हम वली समझते जो न बादा-ख़्वार होता -

written by Mirza Ghalib 





Koi Umeed Bar Nahi Aati ( Mirza Ghalib )


Koi Umeed Bhar Nahi Aati
Koi Surat Nazar Nahi Aati

Maut Ka Aik Din Mo-ayeeyan Hai
Neend Kyun Raat Bhar Nahi Ati

Aagey Aati Thi Haal e Dil Pe Hansee
Ab Kisi Baat Per Nahi Ati

Jaanta Hoon Sawab-e-Teyat-o-Zohad
Per Tabiyat Udher Nahi Ati

Hai Kuch Aesi Hee Baat Jo Chup Hoon
Warna Kiya Baat Ker Nahi Aati

Kyun Na Cheekhon ke Yaad Kartay Hain
Meri Awaaz Gar Nahi Aati

Daag-e-dil Gar Nazar Nahi Aata
Boo Bhi Ae Chaaraa-Gar Nahi Aati

Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi
Kuch Hamari Khabar Nahi Aati

Marte Hain Arzoo Mein Marne Ki
Maut Aati Hai Per Nahi Aati

Kaba Kis Moun Se Jao Ge Ghalib
Sharam Tum Ko Magar Nahi Aati

-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

कोई उम्मीद बर नहीं आती !
कोई सूरत नज़र नहीं आती !!

मौत का एक दिन मुअय्यन है !
नींद क्यों रात भर नहीं आती !!

आगे आती थी हाल-ए-दिल पर हसी !
अब किसी बात पर नहीं आती !!

जानता हूँ सवाब-ए-ताअत-ओ-ज़ोहद !
पर तबियत इधर नहीं आती !!

है कुछ ऐसी ही बात जो चुप हूँ !
वरना क्या बात कर नहीं आती ?

क्यों न चीखू कि याद करते है !
मेरी आवाज़ गर नहीं आती !!

दाग़-ए-दिल गर नज़र नहीं आता !
बू भी ऐ चारागर नहीं आती !!

हम वहा है जहाँ से हमको भी !
कुछ हमारी खबर नहीं आती !!

मरते है आरजू में मरने की !
मौत आती है पर नहीं आती !!

काबा किस मुँह से जाओगे ग़ालिब !
शर्म तुमको मगर नहीं आती ! -

written by Mirza Ghalib 




Dil-e-Nadañ Tujhe Hua Kya Hai ( Mirza Ghalib )


Dil-e-nadañ tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dava kya hai

Ham hai mushtaq aur vo bezar
Yaa ilaahi, ye maajra kya hai

Mai bhi muh me zuban rakhta hun
Kaash puchho ki mudda kya hai

Jabki tujh bin nahi koi maujud
Phir ye hangama aye khuda kya hai

Ye pari-chehara log kaise hai
Gamza-o-ushva-o-ada kya hai

Shikane-zulafe-amabari kya hai
Nigahe-chashme-surma sa kyaa hai

Sabz-o-gul kahan se aaye hai
Abr kyaa chiz hai, hava kya hai

Hamko unse vafa ki hai ummid
Jo nahi jaante vafa kya hai

Haan bhala kar, teraa bhala hoga
Aur darvesh ki sada kya hai

Jaan tum par nisaar kartaa hun
Mai nahi jaanta dua kya hai

Maine mana ki kuchh nahi " Ghalib''
Muft haath aaye, to bura kya hai

-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*--*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

दिल-ए-नादां तुझे हुआ क्या है
आख़िर इस दर्द की दवा क्या है

हम हैं मुश्ताक़ और वो बे-ज़ार
या इलाही ये माजरा क्या है

मैं भी मुंह में ज़बान रखता हूँ
काश पूछो कि मुद्दआ' क्या है

जब कि तुझ बिन नहीं कोई मौजूद
फिर ये हंगामा ऐ ख़ुदा क्या है

ये परी-चेहरा लोग कैसे हैं
ग़म्ज़ा ओ इश्वा ओ अदा क्या है

शिकन-ए-ज़ुल्फ़-ए-अंबरीं क्यूं है
निगह-ए-चश्म-ए-सुरमा सा क्या है

सब्ज़ा ओ गुल कहां से आए हैं
अब्र क्या चीज़ है हवा क्या है

हम को उन से वफ़ा की है उम्मीद
जो नहीं जानते वफ़ा क्या है

हां भला कर तिरा भला होगा
और दरवेश की सदा क्या है

जान तुम पर निसार करता हूं
मैं नहीं जानता दुआ क्या है

मैं ने माना कि कुछ नहीं 'ग़ालिब'
मुफ़्त हाथ आए तो बुरा क्या है

written by Mirza Ghalib 






Wednesday, June 1, 2022

SHER KAISE LIKHTE HAIÑ

Ham ko kya maalum shayari kya hai
Timardaar ko nahi pata bimaari kya hai

Shouq itna hai ki kuch likhne ka mann karta hai
Mae kagaz tak le jata hun baaki qalam karta hai

Khayaal aata hai ki sher us mehak ke naam kar duñ
Phool ki taarif karuñ aur kaañtoñ ko badnaam kar duñ

Shuru karta hun ki phuloñ ki jawani kaisi hoti hai
Agle misre mei likhta hun pasbaani kaisi hoti hai

Sau karvatoñ ke baad ek sher nahi ban pata hai
Magar ek hoñth dekh kar pura ghazal ban jata hai

Soch soch kar ungliyoñ se jabiñ malte hain
Siyahi bhari rahti hai par qalam nahi chalte hain

Kahte hain shayar se alfazoñ ki khushbu aati hai
Mere dost mujh ko kahañ urdu aati hai

Har ek misre ke liye khud se ladta hun
Meer Iqbaal Ghalib ko roz padhta hun

Us par bhi jo likhta hun vo reza reza bhata hai
Sochta hun aye 'Mustafiz' tujh ko kya hi aata hai

Aise lekhan par log itne hairaan dikhte hain
Puchhte hain ki 'Mustafiz' sher kaise likhte hain

written by Mustafiz Raza 







VO JO HAR ZARRE MEI MOUJUD HAI RAHTA HAI, KHUDA HAI


Jo har zarre mei moujud hai rahta hai khuda hai
Jo har hasrat-e-dil ki puri karta hai Khuda hai


Vo jo fakeeroñ ko doulatmand banata hai jahañ mei
Vo jo takhtoñ ko mitti mei milata hai Khuda hai


Yuñ to Kaf-e-khaak hai duniya mei hasti aadmi ki
Un ragoñ mei lahoo jo bharta hai Khuda hai


Socho ki khushbu guloñ mei aati hai kidhar se
Vo jo phooloñ ko gulshan mei mehkata hai Khuda hai


Wo duniya nahi degi jo manga hai Khuda se
Wo jo diloñ ko diloñ se milata hai Khuda hai


Jo Batata hai khud ko samajhta hai Khuda hai
Wo rahta hai tasalli mei ki Khuda hai Khuda hai


Vo jo raha tha raha hai aur rahega hamesha
Vo khuda hai khuda hai khuda hai khuda hai


*********

जो हर ज़र्रे में मौजूद है रहता है खुदा है
जो हर हसरतें दिल की पूरी करता है खुदा है

वो जो फकीरों को दौलतमंद बनाता है जहां में
वो जो तख्तों को मिट्टी में मिलात है खुदा है

यूं तो कफ ए खाक है दुनिया में हस्ती आदमी की
उन रगों में लहू जो भरता है खुदा है

सोचो की खुशबू गुलों में आती है किधर से
वो जो फूलों को गुलशन में महकता है खुदा है

वो दुनिया नही देगी जो मांगा है खुदा से
वो जो दिलों को दिलों से मिलात है खुदा है

जो बताता है खुद को समझता है खुदा है
वो रहता है तसल्ली में को खुदा है खुदा है

वो जो रहा था रहा है और रहेगा हमेशा
वो खुदा है खुदा है खुदा है खुदा है

written by Mustafiz Raza



Thursday, March 10, 2022

YE WAQT ISI TARAH CHALTI JAEGI

 Ye waqt isi tarah chalti jaegi
Umr dhalti hai dhalti jaegi

ये वक़्त इसी तरह चलती जाएगी 
उम्र ढलती है ढलती जाएगी 

Saans thodi thodi aati rahegi
Jaan jism se nikalti jaegi

सांस थोड़ी थोड़ी आती रहेगी 
जान जिस्म से निकाली जाएगी 

Jitni himmat se shama jalegi
Utni jaldi momm pighalti jaegi

जितनी हिम्मत से शमा जलेगी
उतनी जलगी मॉम पिघलती जाएगी 

Gar Khuda pe ho eitbaar 'Mustafiz'
Dekhiye qismat kaise badalti jaegi

गर खुदा पे हो ऐतबार मुस्तफिज़ 
देखिये क़िस्मत कैसे बदलती जाएगी 

written by Mustafiz 






#shayari4world #shayari #shayri #urdu_poetry #urdupoetry #urduadab #urdulove #rekhta
#poetry #ghazal #best_shayari #best_poetry_blog #shayari_blog

Sunday, June 21, 2020

MERI NEKIYON KO GUNAHON NE CHHUPA RAKKHA HAI

Meri nekiyon ko gunahon ne chhupa rakkha hai
Jaise kisi surat ko hijabon ne chhupa rakkha hai

Jo haajat-mand nahi wahan ja rahi hai teri roushni
Aur jahan zarurat hai oose chhaon ne chhupa rakkha hai

Jo Aankhon se vaabasta hain wo kahin mil bhi jaae shayad
Oose kahan dhundu jise hawaon ne chhupa rakkha hai

Ik teer hai uske husn ki hifaazat ko hardam
Ek khanjar unki adaaon ne chhupa rakkha hai

Kuchh pal zindagi ke unke naam kar di maene
Aur kuchh lamhon ko Qitabon ne chhupa rakkha hai

Kaii mahfuz hai teri ibaadat se yaa rab
Kitnon ko Maa ki duaon ne chhupa rakkha hai

*****

मेरी नेकियों को गुनाहों ने छुपा रक्खा है 
जैसे किसी सूरत हो हिजाबों ने छुपा रक्खा है

जो हाजत-मंद नहीं वहां जा रही है तेरी रौशनी
और जहाँ ज़रूरत है उसे छाओं रक्खा है

जो आँखों से वाबस्ता हैं वो कहीं मिल भी जाए शायद
उसे कहाँ धुंडु जिसे हवाओं ने छुपा रक्खा है

इक तीर है उसके हुस्न की हिफाज़त को हर दम 
एक खंजर उनकी अदाओं ने छुपा रक्खा है

कुछ पल ज़िन्दगी के उनके नाम कर दी मैने
और कुछ लम्हों को किताबों ने छुपा रक्खा है

कई महफूज़ है तेरी इबादत से या रब
कितनों को माँ की दुआओं ने छुपा रक्खा है

Meaning:-
Neki:- Good Deeds, पुन्य 
Hijaab:- Head Covering
Haajat-mand:- Needy, ज़रूरतमंद 

written by Mustafiz








NAZM- GAUR SE SUNIYEGA

Jitni zarurat hai utna kahunga
Jitni himmat hai utna kahunga

Jo baat kahni hai mukammal hogi
Har ek baat par us mei meri amal hogi

Kuchh baaten tumhe raaz lagenge
Kuchh baaten pahle hi pata hongi

Kaii baaten aesi hongi jo khush karengi
Kuchh baaten hongi yaqeen se pare

Agar be-gharaz lage to uth kar chale jaiyega
Agar baith gaye
To
Gaur se suniyega

******

जितनी ज़रूरत है उतना उतना कहूंगा
जितनी हिम्मत है उतना कहूंगा

जो बात कहनी है मुकम्मल होगी
हर एक बात पर उस में मेरी अमल होगी

कुछ बातें तुम्हे राज़ लगेंगे
कुछ बातें पहले ही पता होंगी

कई बातें ऐसी होंगी जो खुश करेंगी
कुछ बातें होंगी यक़ीन से परे

अगर बे-ग़रज़ लगे तो उठ कर चले जाइएगा
अगर बैठ गए
तो
गौर से सुनियेगा

Meaning:-
Mukammal:- Complete, पूरा
Amal:- Obedience Act , कार्य करना
Be-gharaz:- No Reason, बे-वजह

written by Mustafiz





AB SABAB RAHE BHI TO GILA KISI SE NAHI

Ab sabab rahe bhi to gila kisi se nahi
Hame mohabbat ka sila mila kisi se nahi

Hai ranj bohot magar ek tasalli ki ab
Ishq-o-mohabbat ka jhamela kisi se nahi

Haae ye sitam ki un khamosh labon mei
Dab gaye jo raaz to khula kisi se nahi

Ek nadaani jo bana uske murjhane ki wajah
Ki ab talak vo phool bhi khila kisi se nahi

******

अब सबब रहे भी तो गिला  किसी से नहीं
हमें मोहब्बत का सिला मिला किसी से नहीं

है रंज बोहोत मगर एक तसल्ली की अब
इश्क़-o -मोहब्बत का झमेला किसी से नहीं

हए ये सितम की उन खामोश लबों में
दब गए जो राज़ तो खुला किसी से नहीं

एक नादानी जो बना उसके मुरझाने की वजह
की अब तलाक वो फूल भी खिला किसी से नहीं

Meaning:-
Sabab:- Reason, वजह
Gila:- Complaint, शिकायत
Sila:- Gift, उपहार
Ranj:-Sorrow, दुःख 
Tasalli:- Satisfaction, तसल्ली 

written by Mustafiz








page top middle