Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.
Showing posts with label *Shayari. Show all posts
Showing posts with label *Shayari. Show all posts

Saturday, November 19, 2022

Two Liner 208 ( Shayari 4 World )

 Ek shakhs teri mohabbat mei giraftaar tha mujhe yaad hai

Tera hi tera zikr tha oose pyaar tha mujhe yaad hai


written by Mustafiz

Two Liner 207 ( Shayari 4 World )

 Rasm-e-ulfat mei ittefaaq to dekhiye

Kaante bhi kat jaate hain gulaab ke saath


written by Mustafiz

Ek Kaagaz lo aur naam likho

 Ek kaagaz lo aur naam likho

Ek chehra banao paigham likho


Mathey ki jagah par taaj rahe

Aankhon ki jagah par jaam likho


Sitare aur chand ko kaanon par

Zulfon ke niche shaam likho


Nigahon ke teer se back back kar

Bahon mei uske araam likho


written by Mustafiz 

Tuesday, November 1, 2022

Badi shiddat se ek ghar sajaya tha

 Badi shiddat se ek ghar sajaya tha

Ek charagh ko seene mei jalaya tha


Wo dene lage hain paththaron ko dua

Aur haqikat mei kanton ne bachaya tha


Tujhe maalum na chale mera dard-e-dil

Bas isi liye baarish mei muskuraya tha


Bas teri ek ek musurahat ke liye

Maine har baar khud ko haraya tha


Tujhe bhi ek baar samajhna tha mujhe

Mujhe bhi to gussa aaya tha


Kya yahi mohabbat ka anjaam hota hai

Kya isi liye majnu ne paththar khaya tha


Oosi tarah bula raha hun abhi

Jaisa ki pahle bula raha tha


written by Mustafiz Raza

Samandar mei paani jitna ho

 Samandar mei paani jitna ho

Peene ke kaabil nahi hota


Mohabbat mei koi sazaa bhi nahin

Mohabbat mei qaatil nahi hota


written by Mustafiz Raza

Two Liner 206 ( Shayari 4 world )

 Wo ashq meri aankhon se gire hain

Jinhe tum lahu samajh kar dho rahe ho


written by Mustafiz Raza

Aise haseen chehre par taana sahi nahin

 Aise haseen chehre par taana sahi nahin

Hum ne kahan tha tum se zamana sahi nahin


Har roz ek dafaa dikh jao tum magar

Is dil ko har dafaa satana sahi nahin


Is tarah ab ham par zulm na kijiye

Is tarah se chup kar muskurana sahi nahi


written by Mustafiz Raza

Two Liner 205 ( Shayari 4 World )

 Hame nisbaton ka tajurba to nahi

Par anjaam kai dekhe hain


written by Mustafiz Raza

Two Liner 204 ( Shayari 4 World )

 Salam kahne ka anjaam ye hua

Ki wo der tak aaine ko takte rahe


written by Mustafiz Raza

Monday, October 31, 2022

Two Liner 203 ( Shayari 4 World )

 Raat qismat ki tarah hoti hai

Har raat ki ek subah hoti


written by Mustafiz Raza

DOSTI

 Thoda mushkil hai bayaan karna

Isi liye asaani se nahi hota

Kyun ki dosti chehre dekh ke nahi

Balki bharosa dekh kar hota hai


Ab har kisi se baat ho aur wo dost ban jae

Mumkin to hai nahi

Aur ek dost ho aur usse haesha baat ho

Ye bhi mumkin nahi


Waise dosti mei kuchh bhi laazmi nahi hota

Dost achha bhi hota hai aur bura bhi


Agar wo hamesha aap ka saath de to achha dost

Agar matlabi ho to kharaab dost

Par dost to hota hi hai


Kyun ki dosti mei koi shartt nahi hoti


Agar mujh se aap ittefaaq rakhte hain to thik

Nahi to dosti ke bayanaat bhi mukhtalif hote hain

Aap apne tarike se rang aur roop de sakte hain


written by Mustafiz Raza

Two Liner 202 ( Shayari 4 World )

 Phal ne sahi hava to dega

Yahi soch ke badhne de ise


written by Mustafiz Raza

Two Liner 201 ( Shayari 4 World )

 Zakhm husn-e-yaar agar dena

Namak bhi usme kuchh ragad dena


written by Mustafiz Raza

Two LIner 200 ( Shayari 4 World )

 Roshni chehre pe hai koi kya bolega

Qaid kar liya jaega jo zaraa bolega


written by Mustafiz Raza

Two Liner 199 ( Shayari 4 World )

 Mera qusoor tha maine eitbaar kiya

Tum se wafa karne ki sazaa pai ham ne


written by Mustafiz Raza

Kuchh der aur thahar jaao

 Kuchh der aur thahar jao

Thodi aur baaten karte hain

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

itni bhi kya jaldi hai


Bas biscuit ka ek packet

Aur 2 cup chai mangwaate hain

Thodi dur chalenge saath

Phir tum ghar chale jaana

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

Itni bhi kya jaldi hai


Saara dil to dur rahe

Ab ye shaam hai nisbat ki

Ye ek shaam na kho jaae

Kuchh der aur thahar jao

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

Itni bhi kya jaldi hai


Itni bhi kya jaldi hai


written by Mustafiz Raza

Two Liner 198 ( Shayari 4 World )

 Dekh rahe hain ham vatan ke aah-o-fugaan chalte huwe

Mil rahe dard-o-gham yahan wahan chalte huwe


written by Mustafiz Raza

Khamosh samandar ko tu nakaam na samajh

This Nazm is dedicated to Virat Kohli. 


Khamosh samandar ko tu nakaam na samajh

Safar bohot hai rukne ko anjaam na samajh


Dil mei rahti hai vatan ki mohabbat mujhe mei

Tujh se zyada hai raqibon se baghavat mujh mei


Uth'ti hui ungliyon se na gilaa karta hun

Har ek se mae dil se mila karta hun


Abhi toota hun to pathhar se hai maara tum ne

Waqt aaega ki samjhoge ki sirf haara tumne


Roshni aaegi ek naya kal aaega

Ek chingari aaegi aur charagh jal jaega


Written by Mustafiz Raza

Sunday, July 17, 2022

Is Dil Ka Jo Hua Hone Diya


Is dil ka jo hua hone diya
Be-khudi ramz-o-gilaa hone diya

Ruk gaye sab sitam tere diye
Phir mera jo hua hone diya

Aur Kya bach gaya jo mita nahiñ
Aag lagi aur dhuañ hone diya

Ghalat hua jo hua saath mere
Saath mere jo hua hone diya

Ik tamanna rah gayi hai seene mei
Dil mei hi jis ko fanaa hone diya 

Usne kaha ki usko bhi pyaar hai
Usne mera kyun bura hone diya

Ek safar ki baat thi khair wo bhi
Jo pasand tujh ko, tera hone diya

Ishq mei ham mit gaye jaan kar
Jo rasm hai unko adaa hone diya

********

इस दिल का जो हुआ होने दिया
बेखुदी रम्ज़ ओ गिला होने दिया

रुक गए सब सितम तेरे दिए
फिर मेरा जो हुआ होने दिया

और क्या बच गया जो मिटा नहीं
आग लगी और धुआं होने दिया

ग़लत हुआ जो हुआ साथ मेरे
साथ मेरे जो हुआ होने दिया

इक तमन्ना रह गई है सीने में
दिल में ही जिस को फना होने दिया

उसने कहा की उसको भी प्यार है
उसने मेरा क्यों बुरा होने दिया

एक सफर की बात थी ख़ैर वो भी
जो पसंद तुझ को, तेरा होने दिया

ईश्क में हम मिट गए जान कर
जो रस्म है उसको अदा होने दिया

written by Mustafiz Raza 




Wo Mohabbat Ki Dava Thi

Wo mohabbat ki dava thi
Jis ke aakhon mei wafaa thi

Ham usi ke intezaar mei the
Jo kisi baat par khafaa thi

Bawandar to faqat naam tha
Wo to lehroñ par fida thi

Na hi seene par qafas tha
Na hi pinjre mei jagah thi

Mere kaagaz ki siyahi bhi
Meri mohabbat ki sazaa thi

Meri mohabbat mei rahne ki
Kya faqat meri hi razaa thi

Mustafiz itna to bata dete
Isme meri kya Khataa thi

********

वो मोहब्बत की दवा थी
जिस के आंखों में वफा थी

हम उसी के इंतजार में थे
जो किसी बात पर खफा थी

बवंडर तो फकत नाम था
वो तो लहरों पर फिदा थी

ना ही सीने पर कफस था
ना ही पिंजरे में जगह थी

मेरे कागज़ की सियाही भी
मेरी मोहब्बत को सज़ा थी

मेरी मोहब्बत में रहने की
क्या फकत मेरी ही रज़ा थी

मुस्तफिज़ इतना तो बता देते
इसमें मेरी क्या खता थी

written by Mustafiz Raza 


page top middle