Asl mei ye ek mout hai hijr jiska naam hai
Tere baghair pal kya zindagi bhi tamaam hai
अस्ल में ये एक मौत है हिज्र जिसका नाम है
तेरे बग़ैर पल क्या ज़िन्दगी भी तमाम है
Haan haan maan liya ki hun bad-gumaan
Thoda besharam thoda be-fikar
हाँ हाँ मान लिया की हूँ बद गुमाँ
थोड़ा बेशरम थोड़ा बे फिकर
Magar aye dil nasheen tujhe pata nahi
Ye Tarz-e-amal mohabbat mei aam hai
मगर ए दिल नशीन तुझे पता नहीं
ये तर्ज़ ए अमल मोहब्बत में आम है
Bas hai ik gawaah mere pyaar ka
Jo hai har jagah chhupa hua
बस है इक गवाह मेरे प्यार का
जो है हर जगह छुपा हुआ
Wo mili hai mujh ko jis tarah
Aye Khuda tujhe mera salaam hai
वो मिली है मुझ को जिस तरह
ए खुदा तुझे मेरा सलाम है
Mujhe din nahi mujhe shaam de
Teri baahon mei mujh ko araam de
मुझे दिन नहीं मुझे शाम दे
तेरे बाहों में मुझ को आराम दे
Mujhe duba le tere un chashm mei
Teri aankhon mei mohabbat ka jaam hai
मुझे डूबा ले तेरे उन चश्म में
तेरी आँखों में मोहब्बत का जाम है
Mujhe qaid kar aur saza bhi de
Mere zakhm ko tu hawa bhi de
मुझे क़ैद कर और सज़ा भी दे
मेरे ज़ख्म को तू हवा भी दे
Tera jo ho dil wo tu kar dakhal
Ye aashiq ab tera ghulam hai
तेरा जो हो दिल वो तू कर दख़ल
ये आशिक़ अब तेरा तेरा ग़ुलाम है
Na radeef dekh na behar se mil
Na dikha mujhe qaafiya ka dar
न रदीफ़ देख न बेहेर से मिल
न दिखा मुझे क़ाफ़िया का डर
Ye jaisa hai isko na chhed ab
Ye 'Mustafiz' ka qalaam hai
ये जैसा है इसको न छेड़ अब
ये 'मुस्तफिज़ ' का कलाम है
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment