Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.

Wednesday, November 30, 2022

Kya tang ham sitam-zadagan ka jahan hai ( Mirza Ghalib)



Kya tang ham sitam-zadagan ka jahan hai

Jis mei ki ek baiza-e-mor asman hai


Hai kaenat ko harkat tere zauq se

Partav se aftab ke zarre mei jaan hai


Halanki hai ye sili-e-khara se laala rang

Ghafil ko mere shishe pe mai ka guman hai


Ki us ne garm sina-e-ahl-e-havas mei ja

Aave na kyun pasand ki thanda makan hai


Kya khub tum ne ghair ko bosa nahi diya

Bas chup raho hamare bhi muh mei zaban hai


Baitha hai jo ki saya-e-deewar-e-yar mei

Farman-rava-e-kishvar-e-hindustan hai


Hasti ka eitbaar bhi gham ne mita diya

Kis se kahun ki daagh jigar ka nishan hai


Hai baare etimad-e-vafa-dari is qadar

'Ghalib' ham is mei khush hain ki na-mehrban hai


Dilli ke rahne vaalo 'Asad' ko satao mat

Be-chara chand roz ka yaan mehman hai


*********


क्या तंग हम सितम-ज़दगाँ का जहान है

जिस में कि एक बैज़ा-ए-मोर आसमान है


है काएनात को हरकत तेरे ज़ौक़ से

परतव से आफ़्ताब के ज़र्रे में जान है


हालाँकि है ये सीली-ए-ख़ारा से लाला रंग

ग़ाफ़िल को मेरे शीशे पे मय का गुमान है


की उस ने गर्म सीना-ए-अहल-ए-हवस में जा

आवे न क्यूँ पसंद कि ठंडा मकान है


क्या ख़ूब तुम ने ग़ैर को बोसा नहीं दिया

बस चुप रहो हमारे भी मुँह में ज़बान है


बैठा है जो कि साया-ए-दीवार-ए-यार में

फ़रमाँ-रवा-ए-किश्वर-ए-हिन्दुस्तान है


हस्ती का ए'तिबार भी ग़म ने मिटा दिया

किस से कहूँ कि दाग़ जिगर का निशान है


है बारे ए'तिमाद-ए-वफ़ा-दारी इस क़दर

'ग़ालिब' हम इस में ख़ुश हैं कि ना-मेहरबान है


देहली के रहने वालो 'असद' को सताओ मत

बे-चारा चंद रोज़ का याँ मेहमान है


written by Mirza Ghalib 

Monday, November 28, 2022

Kyun jal gaya na tab-e-rukh-e-yar dekh kar ( Mirza Ghalib)

 


Kyun jal gaya na tab-e-rukh-e-yar dekh kar

Jalta hun apni taqat-e-didar dekh kar


Atishparast kahte hain ahl-e-jahan mujhe

Sargarm-e-nala-ha-e-sharar-bar dekh kar


Kya abru-e-ishq jahan aam ho jafa

Rukta hun tum ko be-sabab azar dekh kar


Aata hai mere qatl ko par josh-e-rashk se

Marta hun us ke haath mei talvar dekh kar


Sabit huwa hai gardan-e-mina pe khoon-e-khalq

Larze hai mauj-e-mai teri raftar dekh kar


Vo-hasrata ki yaar ne khincha sitam se haath

Ham ko haris-e-lazzat-e-azar dekh kar


Bik jaate hain ham aap mata-e-sukhan ke saath

Lekin ayar-e-tabaa-e-kharidar dekh kar


Zunnar bandh subha-e-sad-dana tod daal

Rah-rau chale hai raah ko hamvar dekh kar


In ablon se paanv ke ghabra gaya tha main

Tooti ka aks samjhe hai zangar dekh kar


Girni thi ham pe barq-e-tajalli na tur par

Dete hain baada zarf-e-qadah-khvar dekh kar


Sar phodna vo 'Ghalib'-e-shorida haal ka

Yaad aa gaya mujhe teri deewar dekh kar


*******

क्यूँ जल गया न ताब-ए-रुख़-ए-यार देख कर

जलता हूँ अपनी ताक़त-ए-दीदार देख कर


आतिश-परस्त कहते हैं अहल-ए-जहाँ मुझे

सरगर्म-ए-नाला-हा-ए-शरर-बार देख कर


क्या आबरू-ए-इश्क़ जहाँ आम हो जफ़ा

रुकता हूँ तुम को बे-सबब आज़ार देख कर


आता है मेरे क़त्ल को पर जोश-ए-रश्क से

मरता हूँ उस के हाथ में तलवार देख कर


साबित हुआ है गर्दन-ए-मीना पे ख़ून-ए-ख़ल्क़

लरज़े है मौज-ए-मय तिरी रफ़्तार देख कर


वा-हसरता कि यार ने खींचा सितम से हाथ

हम को हरीस-ए-लज़्ज़त-ए-आज़ार देख कर


बिक जाते हैं हम आप मता-ए-सुख़न के साथ

लेकिन अयार-ए-तबअ-ए-ख़रीदार देख कर


ज़ुन्नार बाँध सुब्हा-ए-सद-दाना तोड़ डाल

रह-रौ चले है राह को हमवार देख कर


इन आबलों से पाँव के घबरा गया था मैं

जी ख़ुश हुआ है राह को पुर-ख़ार देख कर


क्या बद-गुमाँ है मुझ से कि आईने में मिरे

तूती का अक्स समझे है ज़ंगार देख कर


गिरनी थी हम पे बर्क़-ए-तजल्ली न तूर पर

देते हैं बादा ज़र्फ़-ए-क़दह-ख़्वार देख कर


सर फोड़ना वो 'ग़ालिब'-ए-शोरीदा हाल का

याद आ गया मुझे तिरी दीवार देख कर


written by Mirza Ghalib 


Saturday, November 26, 2022

Best Sher of Jaun Eliya

 



1.

Mai bhi ajeeb hun, itna ajeeb hun ki bas

Khud ko tabaah kar liya aur malaal bhi nahi


2.

kya kaha ishq kar baithe

Inna lillahi wa inna ilaihi rajiun


3.

Mere kamre ko sajane ki tamanna hai tumhe

Mere kamre mei qitabon ke siwa kuchh bhi nahi


4.

Mujhse milne ko aap aae hain

Baithiye mae bula kar lata hun


5.

Jo guzari na ja saki hamse

Ham ne vo zindagi guzari hai


6.

Khamoshi se adaa ho rasm-e-doori

Koi hamgama barpa kyun kare ham


7.

Hai mohabbat hayaat ki lazzat

Varna kuchh lazzat -e- hayaat nahin

Hai ijaazat ek baat kahun

Wo magar khair koi baat nahi


8.

Ye mujhe chain kyun nahi padta

Ek hi shakhs tha jahaan mei kya


9.

Vo baaten kha gayi mujhko

Jo baaten pi gaya tha mae


10.

Uski ummeed-e-naaz ka hamse ye maan tha ki aap

Umr guzaar dijiye, umr guzaar di gayi


Saturday, November 19, 2022

Two Liner 208 ( Shayari 4 World )

 Ek shakhs teri mohabbat mei giraftaar tha mujhe yaad hai

Tera hi tera zikr tha oose pyaar tha mujhe yaad hai


written by Mustafiz

Two Liner 207 ( Shayari 4 World )

 Rasm-e-ulfat mei ittefaaq to dekhiye

Kaante bhi kat jaate hain gulaab ke saath


written by Mustafiz

Ek Kaagaz lo aur naam likho

 Ek kaagaz lo aur naam likho

Ek chehra banao paigham likho


Mathey ki jagah par taaj rahe

Aankhon ki jagah par jaam likho


Sitare aur chand ko kaanon par

Zulfon ke niche shaam likho


Nigahon ke teer se back back kar

Bahon mei uske araam likho


written by Mustafiz 

Tuesday, November 1, 2022

Badi shiddat se ek ghar sajaya tha

 Badi shiddat se ek ghar sajaya tha

Ek charagh ko seene mei jalaya tha


Wo dene lage hain paththaron ko dua

Aur haqikat mei kanton ne bachaya tha


Tujhe maalum na chale mera dard-e-dil

Bas isi liye baarish mei muskuraya tha


Bas teri ek ek musurahat ke liye

Maine har baar khud ko haraya tha


Tujhe bhi ek baar samajhna tha mujhe

Mujhe bhi to gussa aaya tha


Kya yahi mohabbat ka anjaam hota hai

Kya isi liye majnu ne paththar khaya tha


Oosi tarah bula raha hun abhi

Jaisa ki pahle bula raha tha


written by Mustafiz Raza

Samandar mei paani jitna ho

 Samandar mei paani jitna ho

Peene ke kaabil nahi hota


Mohabbat mei koi sazaa bhi nahin

Mohabbat mei qaatil nahi hota


written by Mustafiz Raza

Two Liner 206 ( Shayari 4 world )

 Wo ashq meri aankhon se gire hain

Jinhe tum lahu samajh kar dho rahe ho


written by Mustafiz Raza

Aise haseen chehre par taana sahi nahin

 Aise haseen chehre par taana sahi nahin

Hum ne kahan tha tum se zamana sahi nahin


Har roz ek dafaa dikh jao tum magar

Is dil ko har dafaa satana sahi nahin


Is tarah ab ham par zulm na kijiye

Is tarah se chup kar muskurana sahi nahi


written by Mustafiz Raza

Two Liner 205 ( Shayari 4 World )

 Hame nisbaton ka tajurba to nahi

Par anjaam kai dekhe hain


written by Mustafiz Raza

Two Liner 204 ( Shayari 4 World )

 Salam kahne ka anjaam ye hua

Ki wo der tak aaine ko takte rahe


written by Mustafiz Raza

Monday, October 31, 2022

Two Liner 203 ( Shayari 4 World )

 Raat qismat ki tarah hoti hai

Har raat ki ek subah hoti


written by Mustafiz Raza

DOSTI

 Thoda mushkil hai bayaan karna

Isi liye asaani se nahi hota

Kyun ki dosti chehre dekh ke nahi

Balki bharosa dekh kar hota hai


Ab har kisi se baat ho aur wo dost ban jae

Mumkin to hai nahi

Aur ek dost ho aur usse haesha baat ho

Ye bhi mumkin nahi


Waise dosti mei kuchh bhi laazmi nahi hota

Dost achha bhi hota hai aur bura bhi


Agar wo hamesha aap ka saath de to achha dost

Agar matlabi ho to kharaab dost

Par dost to hota hi hai


Kyun ki dosti mei koi shartt nahi hoti


Agar mujh se aap ittefaaq rakhte hain to thik

Nahi to dosti ke bayanaat bhi mukhtalif hote hain

Aap apne tarike se rang aur roop de sakte hain


written by Mustafiz Raza

Two Liner 202 ( Shayari 4 World )

 Phal ne sahi hava to dega

Yahi soch ke badhne de ise


written by Mustafiz Raza

Two Liner 201 ( Shayari 4 World )

 Zakhm husn-e-yaar agar dena

Namak bhi usme kuchh ragad dena


written by Mustafiz Raza

Two LIner 200 ( Shayari 4 World )

 Roshni chehre pe hai koi kya bolega

Qaid kar liya jaega jo zaraa bolega


written by Mustafiz Raza

Two Liner 199 ( Shayari 4 World )

 Mera qusoor tha maine eitbaar kiya

Tum se wafa karne ki sazaa pai ham ne


written by Mustafiz Raza

Kuchh der aur thahar jaao

 Kuchh der aur thahar jao

Thodi aur baaten karte hain

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

itni bhi kya jaldi hai


Bas biscuit ka ek packet

Aur 2 cup chai mangwaate hain

Thodi dur chalenge saath

Phir tum ghar chale jaana

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

Itni bhi kya jaldi hai


Saara dil to dur rahe

Ab ye shaam hai nisbat ki

Ye ek shaam na kho jaae

Kuchh der aur thahar jao

Tum ko abhi hi ghar jaane ki

Itni bhi kya jaldi hai


Itni bhi kya jaldi hai


written by Mustafiz Raza

Two Liner 198 ( Shayari 4 World )

 Dekh rahe hain ham vatan ke aah-o-fugaan chalte huwe

Mil rahe dard-o-gham yahan wahan chalte huwe


written by Mustafiz Raza

page top middle