Khud ko tabaah kar liya aur malaal bhi nahi
2.
kya kaha ishq kar baithe
Inna lillahi wa inna ilaihi rajiun
3.
Mere kamre ko sajane ki tamanna hai tumhe
Mere kamre mei qitabon ke siwa kuchh bhi nahi
4.
Mujhse milne ko aap aae hain
Baithiye mae bula kar lata hun
5.
Jo guzari na ja saki hamse
Ham ne vo zindagi guzari hai
6.
Khamoshi se adaa ho rasm-e-doori
Koi hamgama barpa kyun kare ham
7.
Hai mohabbat hayaat ki lazzat
Varna kuchh lazzat -e- hayaat nahin
Hai ijaazat ek baat kahun
Wo magar khair koi baat nahi
8.
Ye mujhe chain kyun nahi padta
Ek hi shakhs tha jahaan mei kya
9.
Vo baaten kha gayi mujhko
Jo baaten pi gaya tha mae
10.
Uski ummeed-e-naaz ka hamse ye maan tha ki aap
Umr guzaar dijiye, umr guzaar di gayi
No comments:
Post a Comment