Kya maza mile aese tadpaane se
Behtar hai ik chingari se jal jaane se
Kya gham zulmat mei rahne ka
Khushi tumko ho mere pighal jaane se
Khauf to hai mujhe tujhse bichad jaane ka
Milega kya mujhe gham khaane se
Ae ishq-baaz dekh zara apne ghar ki taraf
Rokta kaun hai tujhe mar jaane se
Behtar hai na lage kisi musafir se dil
Parinde rukte nahi pet bhar jaane se
Tere guzarne se badh jaati hai dhadkan meri
Thahar jaati hai tere thahar jaane se
Har pal ik qahar barpa jaae hai
Saaqi tere mai ke mujh par utar jaane se
Parkha hai har shahar ka shauq maene
Haan 'Mustafiz' khush hai ghar jaane se
**********
क्या मज़ा मिले ऐसे तड़पाने से
बेहतर है इक चिंगारी से जल जाने से
क्या ग़म ज़ुल्मत में रहने का
ख़ुशी तुमको हो मेरे पिघल जाने से
खौफ तो है मुझे तुझसे बिछड़ जाने का
मिलेगा क्या मुझे ग़म खाने से
ऐ इश्क़-बाज़ देख ज़रा अपने घर की तरफ
रोकता कौन है तुझे मर जाने से
बेहतर है न लगे किसी मुसाफिर से दिल
परिंदे रुकते नहीं पेट भर जाने से
तेरे गुजरने से बढ़ जाती है धड़कन मेरी
ठहर जाती है तेरे ठहर जाने से
हर पल एक क़हर बरपा जाए है
साक़ी तेरे मई के मुझ पर उतर जाने से
परखा है हर शहर का शौक़ मैने
हाँ 'मुस्तफिज़' खुश है घर जाने से
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment