Rishton mei ye kahan bezubaan hote hain
Dil ke dard mere sheron se bayan hote hain
Mat puchh ki ishq mei hamne kiya kya hai
Wafa ke bhi koi nishaan hote hain
Ikhtiyaar nahi khud ki aankhon par mujhe
Nazar hat ti nahi aap jahan hote hain
Mere aage rahte ho parde mei jo tum
Mere aage sharm bhi nihaan hote hain
Ik wajah zaruri hame maalum hai ki
Aap hamse khafa bewaja hote hain
Bebaak dil alfaaz chaak himmat misaal ho
Isse alag kya aalam mei rahnuma hote hain
*********
रिश्तों में ये कहाँ बेज़ुबान होते हैं
दिल के दर्द मेरे शेरोन से बयां होते हैं
मत पूछ की इश्क़ में हमने किया क्या है
वफ़ा के भी कोई निशाँ होते हैं
इख्तियार नहीं खुद की आँखों पर मुझे
नज़र हैट ती नहीं आप जहाँ
मेरे आगे रहते हो परदे में जो तुम
मेरे आगे शर्म भी निहां होते हैं
इक वजह ज़रूरी हमें मालुम है की
आप हमसे खफा बेवजा होते हैं
बेबाक दिल अलफ़ाज़ चाक हिम्मत मिसाल हो
इससे अलग क्या आलम में रहनुमा होते हैं
Meaning:-
Sheron:- Couplets
Ikhtiyaar:- Control
Nihaan:- Hidden
Bewaja:- Unreasoned
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment