Kuchh to huzur didaar ko chahiye
Tumhe bhi kuchh to waar ko chahiye
Apne kuche se mohabbat to hoti hai sab ko
Haan magar pahle ku-e-yaar ko chahiye
Hai zehen ki baaten jo karta hun tumse
Dil ki baat lab-e-izhaar ko chahiye
Karte hain mohabbat log aksar achhon se
Thodi mohabbat mujh gunahgaar ko chahiye
Tum wajah qaafi ho ishq ke liye
Fir kya wajah eitbaar ko chahiye
Tere har ek mulaqaat se pahle mujhko
Waesi nazar tere rukhsaar ko chahiye
Bekarari se teri hui haalat 'Mustafiz' ki
Koi dava nahi jo bimaar ko chahiye
*******
कुछ तो हुज़ूर दीदार को चाहिए
तुम्हे भी कुछ तो वार को चाहिए
अपने कुछे से मोहब्बत तो होती है सब को
हाँ मगर पहले को-ए-यार को चाहिए
है ज़हन की बातें जो करता हूँ तुमसे
दिल की बात लैब-ए-इज़हार को चाहिए
करते हैं मोहब्बत लोग अक्सर अच्छों से
थोड़ी मोहब्बत मुझ गुनहगार को चाहिए
तुम वजह काफी हो इश्क़ के लिए
फिर क्या वजह ऐतबार को चाहिए
तेरे हर एक मुलाक़ात से पहले मुझ को
वैसी नज़र तेरे रुखसार को चाहिए
बेकरारी से तेरी हुई हालत 'मुस्तफिज़' की
कोई दवा नहीं जो बीमार को चाहिए
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment