1
AAINA DEKH KAR TASALLI HUI
HAM KO IS GHAR MEI JAANTA HAI KOI
2
AAP KE BAAD HAR GHADI HAM NE
AAP KE SAATH HI GUZARI HAI
3
SHAAM SE AANKH MEI NAMI SI HAI
AAJ PHIR AAP KI KAMI SI HAI
4
ZINDAGI YUN HUI BASAR TANHA
QAFILA SAATH AUR SAFAR TANHA
5
WAQT RAHTA NAHI KAHIN TIK KAR
AADAT IS KI BHI AADMI SI HAI
6
KITNI LAMBI KHAMOSHI SE GUZRA HUN
UN SE KITNA KUCHH KAHNE KI KOSHISH KI
7
AADATAN TUM NE KAR DIYE WAADE
AADATAN HAM NE EITBAAR KIYA
8
JIS KI AANKHON MEI KATI THI SADIYAN
US NE SADIYON KI JUDAI DI HAI
9
KOI KHAMOSH ZAKHM LAGTI HAI
ZINDAGI EK NAZM LAGTI HAI
10
HAM NE AKSAR TUMHARI RAHON MEI
RUK KAR APNA HI INTEZAAR KIYA
11
KAL KA HAR VAQIYA TUMHARA THA
AAJ KI DASTAN HAMARI HAI
12
APNE SAE SE CHAUNK JAATE HAIN
UMR GUZRI HAI IS TARAH TANHA
13
AAG MEI KYA KYA JALA HAI SHAB BHAR
KITNI KHUSH-RANG DIKHAI DI HAI
14
EK SANNNATA DABE-PAANV GAYA HO JAISE
DIL SE IK KHAUF SA GUZRA HAI BICHHAD JAANE KA
15
GO BARASTI NAHI SADA AANKHEN
ABR TO BAARA MAAS HOTA HAI
16
KHAMOSHI KA HAASIL BHI EK LAMBI SI KHAMOSHI THI
UN KI BAAT SUNI BHI HAM NE APNI BAAT SUNAI BHI
17
CHAND UMMIDEN CICHODI THIN TO AANHEN TAPKIN
DIL KO PIGHLAEN TO HO SAKTA HAI SANSEN LIKLEN
18
YE SHUKR HAI KI MERE PAAS TERA GHAM TO RAHA
VAGARNA ZINDAGI BHAR KO RULA DIYA HOTA
19
VO EK DIN EK AJNABI KO
MERI KAHANI SUNA RAHA THA
20
VO UMR KAM KAR RAHA THA MERI
MAE SAAL APNE BADHA RAHA THA
******
No comments:
Post a Comment