1
TUM NE KIYA NA YAAD KABHI BHUL KAR HAME
HAM NE TUMHARI YAAD MEI SAB KUCHH BHULA DIYA
2
KAH DO IN HASRATON SE KAHIN AUR JA BASEN
ITNI JAGAH KAHAN HAI DIL-E-DAAGH-DAAR MEI
3
KITA HAI BAD-NASEEB ZAFAR DAFN KE LIYE
DO GAZ ZAMIN BHI NA MILI KU-E-YAAR MEI
4
BAAT KARNI MUJHE MUSHKIL KABHI AISI TO NA THI
JAISI AB HAI TERI MEHFIL KABHI AISI TO NA THI
5
NA THI HAAL KI JAB HAME KHABAR RAHE DEKHTE AURON KE AIB O HUNAR
PADI APNI BURAION PAR JO NAZAR TO NIGAH MEI KOI BURA NA HUA
6
'ZAFAR' AADMI US KO NA JANIYEGA VO HO KAISA HI SAHAB-E-FAHN-O-ZAKA
JISE AISH MEI YAAD -E-KHUDA NA RAHI JISE TAISH MEI KHAUF-E-KHUDA NA RAHA
7
DAULAT-E-DUNIYA NAHIN JAANE KI HARGIZ TERE SAATH
BAAD TERE SAB YAHIN AI BE-KHABAR BAT JAEGI
8
BE-KHUDI MEI LE LIYA BOSA KHATA KIJE MUAAF
YE DIL-E-BETAAB KI SAARI KHATA THI MAIN NA THA
9
BULBUL KO BAGHBAN SE NA SAYYAD SE GILA
QISMAT MEI QAID LIKKHI THI FASL-E-BAHAR MEI
10
LAGTA NAHI HAI DIL MERA UJDE DAYAR MEI
KIS KI BANI HAI ALAM-E-NA-PAEDAAR MEI
11
KHUDA KE VASTE ZAHID UTHA PARDA NA KAABE KA
KAHIN AISA NA HO YAAN BHI WAHI KAAFIR-SANAM NIKLE
12
AURON KE BAP PE BAL NA KAR ITNA NA CHAL NIKAL
BAL HI TO BAL KE BAL PE TU KUCHH APNE BAL KE CHAL
13
MARG HI SEHAT HAI US KI MARG HI US KA ILAAJ
ISHQ KA BIMAAR KYA JAANE DAVA KYA CHIZ HAI
14
YE CHAMAN YUNHI RAHEGA AUR HAZARON BULBULEN
APNI APNI BOLIYAN SAB BOL KAR UD JAENGI
12
KYA PUCHHTA HAI HAM SE TU AI SHOKH SITAMGAR
JO TU NE KIYE HAM PE SITAM KAH NAHIN SAKTE
13
APNA DIVANA BANAYA MUJHE HOTA TU NE
KYUN KHIRAD-MAND BANAYA NA BANAYA HOTA
14
ROZ MAMURA-E-DUNIYA MEI KHARABI HAI 'ZAFAR'
AISI BASTI KO TO VIRANA BANAYA HOTA
15
LE GAYA CHHIN KAR KAUN AAJ TERA SABR-O-QARAAR
BE-QARARI TUJHE AYE DIL KABHI AISI TO NA THI
16
NAHIN ISHQ MEI IS KA TO RANJ HAME TO QARAR-O-SHAKEB ZARA NA RAHA
GHAM-E-ISHQ TO APNA RAFIQ RAHA KOI AUR BALA SE RAHA NA RAHA
17
OOSE CHAHA THA USKO KE ROK RAKHUN MERI JAAN BHI JAE TO JAANE NA DUN
KIYE LAAKH FAREB KARODO FUSUN NA RAHA NA RAHA NA RAHA NA RAHA
18
LAGTA NAHIN HAI DIL MERA UJDE DAYAR MEI
KIS KI BANI HAI AALAM-E-NA-PAEDAAR MEI
19
HAM YE TO NAHIN KAHTE KI GHAM KAH NAHIN SAKTE
PAR JO SABAB-E-GHAM HAI VO HAM KAH NAHIN SAKTE
20
ALLAH RE TERA ROAB KI AHVAL-E-DIL APNA
DE DETE HAIN HAM KAR KE RAQAM KAH NAHIN SAKTE
******
#bahadur_shah_zafar_poetry #best_poetry #shayari #shayari4world #shayri #urdushayari #poetry #shayari_blog
No comments:
Post a Comment