Md. Mustafiz Raza

Welcome to the blog. We provide authentic shayaries both in English and Hindi language for your comfort.
(NOTE:-NO SHAYARI HAS BEEN TAKEN FROM ANYWHERE ELSE, IT'S ALL MADE BY OWN). Also the poetry available here has been respecitively credited to their original writer. Keep Visiting. Thank you for your time.

To view shayari videos of various poets. Click on the link on the right side pannel.

Thursday, March 17, 2022

TOP 20 BEST SHER OF JAVED AKHTAR


1

AGAR PALAK PE HAI MOTI TO YE NAHI KAAFI
HUNAR BHI CHAHIYE ALFAZ MEI PIRONE KA

2

AQL YE KAHTI HAI DUNIYA MILTI HAI BAZAAR MEI
DIL MAGAR YE KAHTA HAI  KUCHH BEHTAR DEKHIYE

3

BAHANA DHUDTE RAHTE HAIN KOI RONE KA
HAMEN YE SHAUQ HAI KYA ASTIN BHIGONE KA

4

DHUAN JO KUCHH GHARON SE UTH RAHA HAI
NA PURE SHAHAR PAR CHHAE TO KAHNA

5

GHAIRON KO KAB FURSAT HAI DUKH DENE KI
JAB HOTA HAI KOI HAMDAM HOTA HAI

6

HAR TARAF SHOR USI NAAM KA HAI DUNIYA MEI
KOI US KO JO PURAKE TO PUKARE KAISE

7

HAM TO BACHPAN MEI BHI AKELE THE
SIRF DIL KI GALI MEI KHELE THE

8

IS CHARAGHON MEI TEL HI KAM THA
KYUN GILAA PHIR HAMEN HAVA SE RAHE

9

KABHI JO KHWAAB THA VO PAA LIYA HAI
MAGAR JO KHO GAYI WO CHIZ KYA THI

10

KOI SHIKVA NA GHAM NA KOI YAAD
BAITHE BAITHE BAS AANKH BHAR AAI

11

MUJHE MAYUS BHI KARTI NAHI HAI
YAHI AADAT TERI ACHHI NAHI HAI

12

YE ZINDAGI BHI AJAB HAI KI MUJHE
KHUSHI HAI PAANE KI KOI NA RANJ KHONE KA

13

YAAD USE BHI EK ADHURA AFSANA TO HOGA
KAL RASTE MEI US NE MUJHE PAHCHANA TO HOGA

14

US KI AANKHON MEI BHI KAAJAL FAEL RAHA HAI
MAEN BHI MUD KE JAATE JAATE DEKH RAHA HUN

15

UNCHI IMARTON SE MAKAN MERA GHIR GAYA
KUCHH LOG MERE HISSA KA SURAJ BHI KHAA GAYE

16

TUM YE KAHTE HO KI MAE GHAIR HUN PHIR BHI SHAYAD
NIKAL AAE KOI PEHCHAN ZARA DEKH TO LO

17

THINN SAJI HASRATEN DUKANON PAR
ZINDAGI KE AJIB MELE THE

18

TAB HAM DONON VAQT CHURA KAR LAATE THE
AB MILTE HAIN JAB BHI FURSAT HOTI HAI

19

SAB KA KHUSHI SE FASLA EK QADAM HAI
HAR GHAR MEI BAS EK HI KAMRA KAM HAI

20

NEKI IK DIN KAAM AATI HAI HAM KO KYA SAMJHATE HO
HAM NE BE-BAS MARTE DEKHE KAISE PYARE PYARE LOG

*******

No comments:

page top middle