"Kai shouq vajud ke liye paale gaye hain"
"Kitne shouq be-sharmi se taale gaye hain"
"Kis tarah ab dil par eitbaar ho hamara"
"Jitne be-adab ham dil se nikaale gaye hain"
"Is tarah eete bhi chalata nahi koi"
"Jis tarah ke jumle ham par uchhale gaye hain"
"Badh gayi hai mujh mei ab nisbat ki aarzu"
"Khatt hamare jis tarah sambhale gaye hain"
"Is tarah choron ki hoti nahi talashi"
"Jis qadar ham bazm mei khangaale gaye hain"
"Itne bure nahin ham zamane ke saamne"
"Jitne ilzaam ham par daale gaye hain"
*****
"कई शौक़ वजूद के लिए पाले गए हैं"
"कितने शौक बेशर्मी से टाले गए हैं"
किस तरह अब दिल पर ऐतबार हो हमारा
जितने बे अदब हम दिल से निकाले गए हैं
इस तरह ईटे भी चलाता नहीं कोई
जिस तरह के जुमले हम पर उछाले गए हैं
बढ़ गई है मुझ में अब निसबत की आरज़ू
खत्त हमारे जिस तरह संभाले गए हैं
इस तरह चोरों की होती नहीं तलाशी
जिस क़दर हम बज्म में खंगाले गए हैं
इतने बुरे नहीं हम ज़माने के सामने
जितने इल्जाम हम पर डाले गए हैं
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment