Iss shahar mei makaan aur bhi hain
Jalne ko ghar yahan aur bhi hain
Dekha nahi meri aankhon ko achhe se tumne
Inme dard ke nishaan aur bhi hain
Akele tum nahi sitam karne waale
Yahan zakhmon ke meherbaan aur bhi hain
Ik ranj tum bhi sah ke dekh lo
Kahte hain dunya mei bezubaan aur bhi hain
Tum bhi darte ho ishq ke andhere se
Matlab mere jaise insaan aur bhi hain
Abhi chashm-e-tar huwi nahi aankhen
Zindagi ke imtihaan aur bhi hain
Chandd lafzon mei bayan karo haal apna
'Mustafiz' daastaan aur bhi hain
********
इस शहर में माकन और भी हैं
जलने को घर यहाँ और भी हैं
देखा नहीं मेरी आँखों को अच्छे से तुमने
इनमे दर्द के निशाँ और भी हैं
अकेले तुम नहीं सितम करने वाले
यहाँ ज़ख्मों के मेहरबान और भी हैं
इक रंज तुम भी सह के देख लो
कहते हैं दुन्या में बेज़ुबान और भी हैं
तुम भी डरते हो इश्क़ के अँधेरे से
मतलब मेरे जैसे इंसान और भी हैं
अभी काश्म-ए-तर हुई नहीं आँखें
ज़िन्दगी के इम्तिहान और भी हैं
चन्द्द लफ़्ज़ों में बयां करो हाल अपना
'मुस्तफिज़' दास्तान और भी हैं
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment