Hai paas mere jo qitaab chahiye tumhe
Aa jao agar hisaab chahiye tumhe
Dil ke zor ka ilzaam tum par aa gaya
Aur kya khitaab chahiye tumhe
Tujh jaisa hi koi zameen par hai yahan
Koi aur jahan mahtaab chahiye tumhe
Ye parde chhupa na paenge tumhe mujhse
Koi behtar hijaab chahiye tumhe
Tum khamoshi mei karte ho sawal mujhse
Shayad aankhon se jawab chahiye tumhe
*******
है पास मेरे जो किताब चाहिए तुम्हे
आ जाओ अगर हिसाब चाहिए तुम्हे
दिल के ज़ोर का इलज़ाम तुम पर आ गया
और क्या खिताब चाहिए तुम्हे
तुझ जैसा ही कोई ज़मीन पर है यहाँ
कोई और जहाँ महताब चाहिए तुम्हे
ये परदे छुपा न पाएंगे तुम्हे मुझसे
कोई बेहतर हिजाब चाहिए तुम्हे
तुम ख़ामोशी में करते हो सवाल मुझसे
शायद आँखों से जवाब चाहिए तुम्हे
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment