Aap aagaye to aagaye bimaar ke din
Hogi ab lazzat-e-didaar ke din
Jo paate nahi ab tum haal-e-dil mera
Chale gaye wo roz akhbaar ke din
Jiye hai kai pal tumse dur rah kar ham
Minnat mei rahti hai ab gulzaar ke din
Lutf thi jab the ham giraftaar aap ke
Ab yaad mei guzarte hain gunahgaar ke din
Kya bataun jo haalat hai ab din mei aankhon ki
Bin tere lagte hain saare bekaar ke din
Qeemat nazar nahi aati ishq ke andhon ko
Bazaar-e-ishq mei aate nahi kharidaar ke din
Raah-e-sukhan se karte ho husn bayan tum
'Mustafiz' lao kabhi uske lab-o-rukhsaar ke din
*********
आप आगये तो आगये बीमार के दिन
होगी अब लज़्ज़त-ए-दीदार के दिन
जो पाते नहीं अब तुम हाल-ए-दिल मेरा
चले गए वो रोज़ अखबार के दिन
जिए हैं कई पल तुमसे दूर रह कर हम
मिन्नत में रहती है अब गुलज़ार के दिन
लुत्फ़ थी जब थे हम गिरफ्तार आप में
अब याद में गुज़रते हैं गुनहगार के दिन
क्या बताऊँ जो हालत है अब दिन में आँखों की
बिन तेरे लगते हैं सारे बेकार के दिन
क़ीमत नज़र नहीं इश्क़ के अंधों को
बाजार-ए-इश्क़ में आते नहीं खरीदार के दिन
राह-ए-सुखं से करते हो हुस्न बयां तुम
'मुस्तफिज़' लाओ कभी उसके लैब-o-रुखसार के दिन
Meaning:-
Gulzar:- Garden, Bed of roses,
Sukhan:- Poetry
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment