Kyun ki jagah bata kar waar nahi karte
Itna tadap rahe ho agar pyar nahi karte
Tutega dil mera na tutengi ummeeden
Itna hi hota darr kabhi izhaar nahi karte
Jeene ke liye dil ko hai dhadkan bhi zaruri
Na hoti agar mohabbat eitbaar nahi karte
Ab samjhaen unko jo kahte bura hame
Iss tarah se waqt kabhi bekaar nahi karte
Maana ki thoda sakht bhi hona zarur hai
Muskurakar mangte kabhi inkaar nahi karte
Maalum hota ishq mei aati hai jaan par
Sarhad-e-zindagi kabhi ham paar nahi karte
Rukh hawaon ki 'Mustafiz' maana idhar nahi
Ham charagh bujhne ka intezaar nahi karte
*********
क्यों की जगह बता कर वार नहीं करते
इतना तड़प रहे हो अगर प्यार नहीं करते
टूटेगा दिल मेरा न टूटेंगी उम्मीदें
इतना ही होता डर कभी इज़हार नहीं करते
जीने के लिए दिल को है धड़कन भी ज़रूरी
न होती अगर मोहब्बत ऐतबार नहीं करते
अब समझाएं उनको जो कहते बुरा हमें
इस तरह से वक़्त कभी बेकार नहीं करते
माना की थोड़ा सख्त भी होना ज़रूर है
मुस्कुराकर मांगते कभी इंकार नहीं करते
मालुम होता इश्क़ में आती है जान पर
सरहद-ए-ज़िन्दगी कभी हम पार नहीं करते
रुख हवाओं की 'मुस्तफिज़' माना इधर नहीं
हम चराग़ बुझने का इंतज़ार नहीं करते
Meaning:-
Waar:- Attack, आक्रमण
Sarhad:- Border, सरहद
written by Mustafiz
No comments:
Post a Comment